Hello Everyone! Aaj hum jaanenge Sardi ya Zukham ke baare me.Samjhenge iske hone ke kaarano ko aur End me jaanenge kuch behtareen Medications ke baare jo ki Sardi-Zukham aur isse related symptoms ko thik karne ke liye istemal me laya jata hai. Toh Bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic. Sardi-zukham(Common Cold) kya hota hai samjhe? Sardi-zukham ek Virus ke karan hota hai. Hume Sardi hone par, Naak ka behna, Bar bar Chhik aana, Naak ka band hojana, aur sath hi me Fever aana, Saans lene me taklif boht saari problems shamil hoti hai. Mana jaata hai 200 se bhi zyda Virus hoti hai jo Sardi-Zukham ke liye responsible hoti hai. Jisme sabse zyda Rhino-Virus ko 50% sardi hone ka kaaran mana gaya hai. RhinoVirus ke alava CoronaVirus, Respiratory Syncytial Virus, Influenza, Para-influenza kuch aise Virus hai jinse bhi Sardi-Zukham hone ki zyda chances hote hai. Sardi-Zukham ke kuch Symptoms ko dekhte hai Sardi ya zukham ke symptoms turant nahi dikhte, Ise dik...
All the information which provided here are for knowledge purpose only, Before taking any medication, first consult with your doctor or any pharmacist of your local area.