Hello Everyone! Aaj hum jaanenge Bhook nahi lagne(Loss of Appetite) ke kaaran, Iske symptoms kya kya hote hai, Aur iske ilaj me diye jaane wali best medication combination ke baare me. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte h.. Bhook nahi lagna kya hai? What is Loss of Appetite? Jab hume khaane peene ki ichchha kam hone lagti hai toh is condition ko bhook nahi lagna kehte hai. Iska matlab yeh hai ke aapko jitna bhook pehle lagta tha, ab utna bhook nahi lagta. Khaana khaane ke baat se hi aapka jee machlaane lagta hai aur lagta hai ki khaane ke baad ulti aajayegi. Is condition me achanak apka body weight kam hone lagta hai. Lambe samay se bhook na lagne ki condition ko medical term me Anorexia bolte hai. Bhook na lagne ke Psychological karan bhi ho sakte hai jaise chinta, stress, depression, tanao etc. Bhook nahi lagne ke Symptoms kya kya hote hai? - Khaane ka taste ko napasand batana. - Khaane ka smell aate hi khaane ko door kardena. - Woh khaana bhi pasan...
All the information which provided here are for knowledge purpose only, Before taking any medication, first consult with your doctor or any pharmacist of your local area.