Hello Everyone! Aaj hum yaha baat karenge ke kis tarah ke Cough me konsa cough syrup hume lena chahiye. Basically, Cough broadly two types ke hote h- 1) Dry Cough 2) Wet Cough 1)Dry Cough (Sukhi Khaansi) : Dry cough me hame bulgum nhi aata hai. Is dauran hame khaasne se gale me kharash, sursurahat, seene me jalan aur dard bhi shuru ho sakta hai. Allergy, Asthma, Chronic Obstructive Pulmonary Disease(COPD), TB etc ke karan bhi Dry cough ho sakta h. Agar khaansi 2 hafte se zyda ho to turant Doctor ki salah le aur ilaj karwaye. 2) Wet Cough (Geeli Khaansi): Wet cough me bulgum banta hai.Bulgum, Muscus Membrane ko raksha karne k liye aur use saaf rakhne ke liye banta hai. Muh, Naak, Gala aur Lungs is bulgum ko banate hai. Jab bahari padarth jaise Dust aur Infecting agents saans ki nali me faste hai, toh cough ke madhyam se bahar nikalte h, par khaansi tab badh jaati hai jab bulgum badhne lagta hai. Chaliye ab Jaante hai...
All the information which provided here are for knowledge purpose only, Before taking any medication, first consult with your doctor or any pharmacist of your local area.