Skip to main content

Kaunsa Cough Syrup kis type ke Khaansi me le?

Hello Everyone! 
Aaj hum yaha baat karenge ke kis tarah ke Cough me konsa cough syrup hume lena chahiye.
Basically, Cough broadly two types ke hote h-
   1) Dry Cough 
   2) Wet Cough

1)Dry Cough (Sukhi Khaansi):



    Dry cough me hame bulgum nhi aata hai. Is dauran hame khaasne se gale me kharash, sursurahat,  seene me jalan aur dard bhi shuru ho sakta hai. Allergy, Asthma, Chronic Obstructive Pulmonary Disease(COPD), TB etc ke karan bhi Dry cough ho sakta h.
Agar khaansi 2 hafte se zyda ho to turant Doctor ki salah le aur ilaj karwaye.

2) Wet Cough (Geeli Khaansi):



    Wet cough me bulgum banta hai.Bulgum, Muscus Membrane ko raksha karne k liye aur use saaf rakhne ke liye banta hai. Muh, Naak, Gala aur Lungs is bulgum ko banate hai.
Jab bahari padarth jaise Dust aur Infecting agents saans ki nali me faste hai, toh cough ke madhyam se bahar nikalte h, par khaansi tab badh jaati hai jab bulgum badhne lagta hai.

Chaliye ab Jaante hai diffenrent types of Cough Syrups ke baare me ek best brand ko example lekar (Grilinctus)-

1. Grlinctus-
  (Ammonium Chloride 60mg + Chlorpheniramine Maleate 2.5mg + Dextromethorphan Hydrobromide 5mg + Guaiphenesin 50mg)
Yah ek Combination medicine hai jo cough ko treat karne ke liye hai. Yeh Nose,  Windpine aur Lungs me jo mucus jama hota h usko patla aur dhedla karta hai, taki cough easily bahar nikal jaye.
Yeh syrup hmko Allergy symptoms jaise Runny Nose, Watery Eyes aur throat irritation se bhi rahat deta hai.

Mechanism of Action-
  Ammonium Chloride and Guaiphenesin ek  expectorants hai jo ki mucus(bulgum) jo hota h uske stickyness ko kam karta hai aur help krta hai hamare airways se bahar nikalne me.
Chlorpheneramine ek Anti-allergic hai jo ki Allery symptoms jaise runny nose, watery eyes aur sneezing ko control krta hai.
Dextromethorphan ek cough suppresant hai jo ki cough ko rokta hai brain ke cough centre me.


2) Grilinctus-BM:
   (BROMHEXINE-8mg + TERBUTALINE SULPHATE-2.5mg)

Yah syrup jab hame khaansi hoti hai jisme hame hamare airways me ya throat me mucus jam jaane ke karan aur airway narrow hojane k karan hame khaanse ke sath saans lene me dikkat hone lagti hai. Tab hame yeh syrup di jaati hai.

Mechanism of Action-
 Yeh 2 medicines ka combination hai. Terbutaline aur Bromhexine.
Terbutaline ek Bronchodilator hai hamare airways ke muscle ko relax karke use failata hI taaki saans ham easily le sake.
Bromhexine ek Mucolytic hai jo ki muscus(Bulgum) ko patla aur use loose karta hai aur cough nikalne me asaani dilata hai.

3)Grlinctus-Ls:
    (AMBROXOL HYDROCHLORIDE-30mg + GUAIPHENESIN-50mg+ LEVOSALBUTAMOL SULPHATE-1mg)

Yeh syrup ek combination medicine hai jo ki cough ke sath mucus ko thik karne k liye diya jata hai. Yeh hamare nose, windpipe aur lungs me jame mucus ko thin karta hai aur ise easily bahar nikalne me help kart hai. Yeh allergy symptoms jaise runny nose, watery eyes aur seenzing ko bhi control karta hai.

Mechanism of Action-

 Yeh three medicine ka combination hai. Ambroxol, Levosalbutamol aur Guaipehenesin.
Ambroxol ek Mucolytic hai jo ki muscus(bulgum) ko thin aur loose karne use bahar nikalne me help karta hai.
Levosalbutamol ek Bronchodilator hai jo ki hamare airways ki muscle ko relax kaise use failata hai aur hame saans lene me asaani dilata hai.
Guaiphenesin ek Expectorant hai joki mucus ke stickyness ko kam karke use hamare airways se nikalne me help karta hai.

4) Grilinctus-L
(LEVOCLOPERASTINE HYDROCHLORIDE-20mg)
 


Yeh syrup anti-tussive hai. Matlb is tarah ke cough me koi bulgum koi mucus nhi hota hai. Bas dry khaansi lagatar hota hai toh usme ise diya jata hai.

5) Grilinctus-Dx
(CHLORPHENIRAMINE MALEATE-2mg + DEXTROMETHORPHAN-10mg)



 
Yeh syrup hame dry cough ke liye diya jata hai.
Yeh allergy symptoms jaise runny nose, watery eyes aur sneezing ko bhi rokta hai.


Toh ab tak hamne dekh liya different types of Cough aur Different types ke Cough Syrups aur inke Use ko ek best brand(Grlinctus) ko example k zariye. But yeh kisi bhi brand ke syrup ko leskte h bas jo maine alag alag syrup ke combination ko bataya use dhyan me rakha jaye.

Dosage:
 Consult with your doctor aur with your local pharmacist for correct dosage because it depends on the severity of cough and weight and age of a pateint.

Thank You for reading this post..
If you found this information valuable then do Share and give feedback and keep reading my articles.

Comments

Popular posts from this blog

Oral Rehydration Salt( ORS ) Liquid ke fayde(benefits) jaane. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!      Aaj hum jaanenge Oral Rehydration Salt( ORS ) Solution/Liquid kya hota hai aur Jaanenge inke kya kya faide hote hai, Isko ghar me kaise bana sakte hai aur end me dekhenge kuch Popular ORS brands ko. Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic. Oral Rehydration Salt(ORS) Solution kya hota hai? Hamare body me kisi wajah se paani ki kami hone par hum ORS solution lete hai, paani ke kami hone ke karan hamare shareer me Electrolytes ka balance bigad jata hai. Electrolytes, body me minerals jaise(Sodium, Potassium, Chloride, Bi-Carbinate, Magnesium Chloride Etc) ka Solution hota hai.Body me electrolytes ke balance bigad ne se hamare body me Dehydration(Paani aur minerals) ki kami ho jati hai. Toh isi ko maintain rakhne ke liye hume ORS ka Solution diya jata hai.       ORS hume Diarrhea(Dast) aur Vomitting(Ulti) hone par lena bahut helpful hota hai. ORS Solution ko hum ghar me bhi bana sakte hai patient ki condition ke according(Ni...

Pet ke Keede(Stomach/Intestinal Worm) se hai pareshan? Jaaniye iske kaaran aur Ilaj bade hi asaan Bhasha me.

Hello Everyone!      Aaj hum Jaanenge Hamare Pet me ya Aant(intestine) me keede kaise hojate hai aur samjhenge inse bacha kaise jaye aur end me jaanenge In keedo ka Ilaj kaise kiya jaye. Toh chaliye bina waqt gawaye shuru karte hai hamara aaj ka topic. Pet me keeda(Stomach Worm)hona kya hota hai?  Insani shareer me stomach ya intestine me keede ek type ka Parasite(parjeevi) hote hai. Yeh insano ke intestine me rehte hai waha ke ingredients ko khaate hai aur intestine ke layers se Khoon chuste hai. Yeh intestine ke parasites intestine(Aanto) se nutrition lete hai. Yeh keede intestine me zinda toh rehte hai par reproduction nahi kar paate. Zaruri nahi hai ke jinke bhi pet me keede ho unhe iske symptoms dikhe hi, toh kuch ko symptoms dikhte hai jaise Thook bahut ana, Latrine ke raaste me Itching hona, pet me dard hona, pet bhaari lagna, gas banna ya Sharir ka ghatna etc. Toh jinke pet me bhi keede hongi unhe ilaj ki zarurat hai jinhe zyda tar medicines ke zariye thik ki...

Bhook nahi lag rahi hai? Khaane ka man nhi hota hai? Jaaniye behtareen upay (Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!   Aaj hum jaanenge Bhook nahi lagne(Loss of Appetite) ke kaaran, Iske symptoms kya kya hote hai, Aur iske ilaj me diye jaane wali best medication combination ke baare me. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte h..   Bhook nahi lagna kya hai? What is Loss of Appetite? Jab hume khaane peene ki ichchha kam hone lagti hai toh is condition ko bhook nahi lagna kehte hai. Iska matlab yeh hai ke aapko jitna bhook pehle lagta tha, ab utna bhook nahi lagta. Khaana khaane ke baat se hi aapka jee machlaane lagta hai aur lagta hai ki khaane ke baad ulti aajayegi. Is condition me achanak apka body weight kam hone lagta hai. Lambe samay se bhook na lagne ki condition ko medical term me Anorexia bolte hai. Bhook na lagne ke Psychological karan bhi ho sakte hai jaise chinta, stress, depression, tanao etc. Bhook nahi lagne ke Symptoms kya kya hote hai?  - Khaane ka taste ko napasand batana.  - Khaane ka smell aate hi khaane ko door kardena.  - Woh khaana bhi pasan...