Skip to main content

Bhook nahi lag rahi hai? Khaane ka man nhi hota hai? Jaaniye behtareen upay (Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!
  Aaj hum jaanenge Bhook nahi lagne(Loss of Appetite) ke kaaran, Iske symptoms kya kya hote hai, Aur iske ilaj me diye jaane wali best medication combination ke baare me.

Toh bina deri kiye chaliye shuru karte h..

 Bhook nahi lagna kya hai? What is Loss of Appetite?


Jab hume khaane peene ki ichchha kam hone lagti hai toh is condition ko bhook nahi lagna kehte hai. Iska matlab yeh hai ke aapko jitna bhook pehle lagta tha, ab utna bhook nahi lagta. Khaana khaane ke baat se hi aapka jee machlaane lagta hai aur lagta hai ki khaane ke baad ulti aajayegi.
Is condition me achanak apka body weight kam hone lagta hai.
Lambe samay se bhook na lagne ki condition ko medical term me Anorexia bolte hai. Bhook na lagne ke Psychological karan bhi ho sakte hai jaise chinta, stress, depression, tanao etc.

Bhook nahi lagne ke Symptoms kya kya hote hai?

 - Khaane ka taste ko napasand batana.
 - Khaane ka smell aate hi khaane ko door kardena.
 - Woh khaana bhi pasand nahi ana jo hame pehle bahut pasand tha.
 - Bhook kam lagne ki condition agar lambe samay se hai toh yeh wajan ghatne(Weight loss) aur Kuposhan(Malnutrition) ka bhi karan ban sakta hai.
 - Khaane se mann bhar jana ya thoda sa khaane ke baad thak jana aur khaana chhor dena.
 - boht jaldi pet bhat jana.

Bhook na lagne ke kaarano ko jaane? Causes


 Bhook na lagne ke bahut saare wajah ho sakte hai. Jisme kayi tarah ke infection bhi shaamil hai aur psycological reason bhi shaamil hai.

Kuch infections-
 -Pneumonia: yeh infection lungs me hota hai.
- Hepatitis
- Liver me sujan ya jalan
- HIV/Aids
- Influenza
- pyelonephritis(ek tarah ka kidney infection)
- Colon Cancer
- Irritable Bowel Syndrome
- Colitis
- Crone Disease, etc

Kuch general reasons-

- Digestive system me gadbadi jaise inflamation(Sujan) hona etc
 - Maansik Rog(mental disease) jaise Chinta, tanao etc shaamil hai.
 - kuchh medicines ke side effect ke karan bhi bhook kam lag sakta hai.
- Emotional Pressure ya stress ke karan bhi bhook kam lag sakta hai jaise, naukri chhoot jana, Kisi kareebi ka accident, ya kisi karibi ka chhoot jana, Shaadi, Break Up etc.

Chaliye ab Bhook na lagne ke Treatment ke baare jaante hai-
 

Iske treatment me sabse zaruri hota hai bhook na lagne ke pichhe ki wajah ko jaanna. Agar hum underlying reason ko thik kardete hai toh hame bhook na lagne ki samasya( Loss of Appetite ) khatam ho jaati hai aur hame bhook thik se lagne lagta hai.
Yaha hum baat karenge ki kon kon si medicines hoti hai jo Appetite Booster hoti hai, jise bhook na lagne ke condition me bhook lagne ke liye diya jata hai.
Yaha hum kuch examples ke zariye samjhenge in medicines ke uses aur inke chemical composition ko bhi samjhenge taaki aap same composition ki dawai apni location me le sake agar yaha batai gayi medicines apke area me na mile toh.


#Kuchh Enzymes-
  1) Unienzyme Syrup/Tablet:
          (ACTIVATED CHARCOAL-75mg+ FUNGAL DIASTASE-100mg + PAPAIN-60mg)

 


Yeh enzyme digestive enzyme hai, hota hai kabhi kabhi hum jo khaana khaate hai woh thik se digest(pachna) nahi hopata hai aur hamara pet bina zyda khaye bhi bhara bhara lagta hai.
  Toh yeh enzyme us undigested foods ko digest karne me helpful hota hai.

2) Aristozyme Syrup/Capsules- 
    (Diastase 50mg + Pepsin 10mg)





yeh medicine bhi ek enzyme jo ki khaane me proteins ko break down karke use body me digest hone aur sharir me lagne madad karta hai.

2)Carminozyme Syrup/capsules-
  

yeh bhi ek enzyme hai jo ki digestion aur appetite( bhook ko badhata hai)

#Kuch Appetite Boosters

1) Cypon Syrup:
       (CYPROHEPTADINE-2mg + SORBITOL-2mg + TRICHOLINE-275mg)



Cypon ek badhiya hunger stimulant hai matlab yeh syrup bhook ko badhata hai. Khaana khaane ki ichchha ko promote karta hai aur undernutrition ya malnutrition jaise problems ko door karta hai.

Mechanism of Action
 Yah syrup three medicines ka combination hai.
Cyproheptadine, Tricholine aur Sorbitol.
Cyproheptadine ek appetite booster hai, yeh hamare brain me hone wale Hypothalamus ke andar hone wale chemical messenger(Serotonin) ko kam karta hai jo ki Appetite(Bhook) ko regulate karta hai.

Tricholine Citrate ek bile acid ko bind karne wala agent hai jo ki bile acid ko remove karta hai hamare body se. Tab liver aur bile juice banata hai cholestrol ke through, aur id tarah cholestrol level kam hojata hai.

Sorbitol ek syrup base ki tarah kaam karta yai aur laxative ki tarah kaam karta hai jo constipation(kabz) se rahat deta hai.

Cypon ke Kuch Side effects
 - Drowsiness 
 - Constipation (Kabz)
 - Blurred Vision (Dhundla dikhna)
 - Sleepiness (Neend ana)
 - Dryness of mouth (Muh sukhna)

2) Cyp-L syrup:
  (CYPROHEPTADINE-2mg + SORBITOL-3.575mg+ TRICHOLINE-275mg)

Is syrup me bhi same compostion haiCypon ki tarah jo Bhook ko badhata hai aur khaana khaane ka mann ko promote karta hai.

3) Sorbiline syrup:
(SORBITOL-7.15mg + TRICHOLINE-550mg)


yeh syrup bhi bhook ko promote karta hai.

#Kuchh Vitamins
 
1) Zincovit syrup/tabs:



zincovit ek multivitamin health supplement hai jo ki body ke overall health ke badhiya mana jata hai.

2)  AtoZ syrup/tabs:


yeh bhi ek multivitamins hai jo body ke overall health ke liye acha hai.

3)Becadexamin caps:
 


4)Supradyn tabletand


Toh yaha tak hamne dekha Bhook na lagne ka karano ko, symptoms ko aur jana kuch treatment allopathic medicines ke through.

Bhook ko thik karne ke liye turant hame allopathic me nahi jana chahiye pehle ise naturally thik karne ki koshish kare, agar naturally thik na ho tab hi allopathic medicines ko lena shuru kare.

Chaliye fir milenge kuchh isi tarah ke interesting and helpful and valuable topics ke sath,  tab tak ke liye Keep reading Keep learning and be healthy.
Share this article to your family and freinds and let them get advantage of this too.
Thank You!

Comments

Popular posts from this blog

Oral Rehydration Salt( ORS ) Liquid ke fayde(benefits) jaane. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!      Aaj hum jaanenge Oral Rehydration Salt( ORS ) Solution/Liquid kya hota hai aur Jaanenge inke kya kya faide hote hai, Isko ghar me kaise bana sakte hai aur end me dekhenge kuch Popular ORS brands ko. Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic. Oral Rehydration Salt(ORS) Solution kya hota hai? Hamare body me kisi wajah se paani ki kami hone par hum ORS solution lete hai, paani ke kami hone ke karan hamare shareer me Electrolytes ka balance bigad jata hai. Electrolytes, body me minerals jaise(Sodium, Potassium, Chloride, Bi-Carbinate, Magnesium Chloride Etc) ka Solution hota hai.Body me electrolytes ke balance bigad ne se hamare body me Dehydration(Paani aur minerals) ki kami ho jati hai. Toh isi ko maintain rakhne ke liye hume ORS ka Solution diya jata hai.       ORS hume Diarrhea(Dast) aur Vomitting(Ulti) hone par lena bahut helpful hota hai. ORS Solution ko hum ghar me bhi bana sakte hai patient ki condition ke according(Ni...

Pet ke Keede(Stomach/Intestinal Worm) se hai pareshan? Jaaniye iske kaaran aur Ilaj bade hi asaan Bhasha me.

Hello Everyone!      Aaj hum Jaanenge Hamare Pet me ya Aant(intestine) me keede kaise hojate hai aur samjhenge inse bacha kaise jaye aur end me jaanenge In keedo ka Ilaj kaise kiya jaye. Toh chaliye bina waqt gawaye shuru karte hai hamara aaj ka topic. Pet me keeda(Stomach Worm)hona kya hota hai?  Insani shareer me stomach ya intestine me keede ek type ka Parasite(parjeevi) hote hai. Yeh insano ke intestine me rehte hai waha ke ingredients ko khaate hai aur intestine ke layers se Khoon chuste hai. Yeh intestine ke parasites intestine(Aanto) se nutrition lete hai. Yeh keede intestine me zinda toh rehte hai par reproduction nahi kar paate. Zaruri nahi hai ke jinke bhi pet me keede ho unhe iske symptoms dikhe hi, toh kuch ko symptoms dikhte hai jaise Thook bahut ana, Latrine ke raaste me Itching hona, pet me dard hona, pet bhaari lagna, gas banna ya Sharir ka ghatna etc. Toh jinke pet me bhi keede hongi unhe ilaj ki zarurat hai jinhe zyda tar medicines ke zariye thik ki...