Hello Everyone! Aaj hum yaha baat karenge Kaan me hone wali dard ke baare(Ear Pain), Jaanenge dard ke kaaran kya hote hai, aur fir samjhenge iske treatment ke baare. Toh bina time gawaye chaliye shuru karte hai. Kaan ka dard aam hai, yeh zydatar bacho me dekhne ko milta hai but Adults ko bhi kaan ka dard ho sakta hai chaliye jaante hai kaan ke dard(Ear Pain) ke kaarano ko. Kaan dard(Ear Pain) hone ke kya kya kaaran ho sakte hai? - Sardi ya Zukham zyda dino tak bana rahe toh kaan me dard ho sakta hai. - Otitis Media bacho ke kaan me dard ka ek common wajah hai. Yah middle ear me hone wala ek infection hai, Isme kaan me bahut tez dard hota hai.Isme tez bukhar, Lagatar kaan me dard aur Sunne me taklif aajati hai. - Kaan me paani chale jaane se ya kaan me Wax jama hojane ke karan bhi dard hota hai. - Bacho me kaan me dard hone ke ek common reason infection ya Cold hai ya kisi tez chiz se kaan ko saaf karne me chot lagnana wajah hai. - Kayi bar nahate waqt Soap ya Shampoo...
All the information which provided here are for knowledge purpose only, Before taking any medication, first consult with your doctor or any pharmacist of your local area.