Hello Everyone!
Yeh ek pain relief medicine hai joki istemal hota hai Pain aur Inflamation ko kam karne ke liye, jaise muscle pain, back me pain, Daanto ka dard, Kaan ka dard aur Gale ka dard me.
Ampilox ek anti-biotic hai joki Combination medicine hai Jisme Ampicilin aur Dicloxacilin paya jata hai, jise bacterial infections ke treatment ke liye use me laya jata hai.
Candibiotic drop ek combination medicine hai joki Ear infection ke liye use me liya jata hai.Yeh bacteria ke growth ko rokta hai jis karan kaan me infection hota hai. Yeh Itching, Redness aur irtitation se bhi rahat deta hai.
Yeh drop bhi hum Ear infection ke liye use me lete hai jo ki Bacteria aur fungus ke karan hota hai.
Drep wax ek combination medicine hai jo ki kaan ke dard ko thik karne me helpful hai jab Hamare kaan me wax hard hokar dard karne lagte hai toh ya drop isko Soft karne me madad karta hai.
yeh drop bhi wax softener hai jo Kaan me jame Wax ko soft karke clear karta hai aur Dard se rahat pahuchata hai.
Yeh bhi ek combination medicine hai jo ki Bacteria ke karan hone wale ear infection me hone wale pain ke liye use me laya jata hai.
Aaj hum yaha baat karenge Kaan me hone wali dard ke baare(Ear Pain), Jaanenge dard ke kaaran kya hote hai, aur fir samjhenge iske treatment ke baare.
Toh bina time gawaye chaliye shuru karte hai.
Kaan ka dard aam hai, yeh zydatar bacho me dekhne ko milta hai but Adults ko bhi kaan ka dard ho sakta hai chaliye jaante hai kaan ke dard(Ear Pain) ke kaarano ko.
Kaan dard(Ear Pain) hone ke kya kya kaaran ho sakte hai?
- Sardi ya Zukham zyda dino tak bana rahe toh kaan me dard ho sakta hai.
- Otitis Media bacho ke kaan me dard ka ek common wajah hai. Yah middle ear me hone wala ek infection hai, Isme kaan me bahut tez dard hota hai.Isme tez bukhar, Lagatar kaan me dard aur Sunne me taklif aajati hai.
- Kaan me paani chale jaane se ya kaan me Wax jama hojane ke karan bhi dard hota hai.
- Bacho me kaan me dard hone ke ek common reason infection ya Cold hai ya kisi tez chiz se kaan ko saaf karne me chot lagnana wajah hai.
- Kayi bar nahate waqt Soap ya Shampoo ka kaano par rehjaane se bhi dard hota hai.
- Sinus me Infection hone ke karan bhi kaan me dard ho sakta hai.
- Daant me bacterial Infection ke karan bhi kaan me dard ho sakta hai.
-Jabde me sujan hone ke karan bhi dard hota hai.
- Kaan me funsi hone par bhi kaan me dard ho sakta hai.
- Kaan me kisi Bahari chiz ya kisi keede ke ghusne se bhi dard hota hai.
- Kaan ke parde fatne se ya kaan ke parde me chhed hone par kaan me dard ho sakta hai, Iske kayi kaaran hosakte hai jaise ki Kaan me koi chiz daalna, Sir par koi gambhir chot, Bahut tez Aawaz, Middle ear me infection hona.
- Infected Paani me nahana jaha kaan ko infect karne wale bacteria zyda paaye jaate hai.
Kaan me Dard(Ear Pain) ke Symptoms kya hote hai?
- Kaan me Wax banna, Kaan me kuchh fasna, kaan ke parde me chhed hona kisi chot ki wajah se.
- Kuch nigalne ke dauran dard hona, gale me dard ya tonsilitis ka hona.
- Fever, Kaan me infection ya Zukham.
Chaliye ab baat karte hai kaan ke dard me diye jaane wali kuch best medicines ki-
1) Zerodol-P tabs:
(Aceclofenac 100mg + Paracetamol 325mg)
#Agar Kaan me Bacterial infection hogaya ho, toh usme antibiotics lena padega:-
2)Ampilox Capsules:
Ampicilin (250mg) + Dicloxacilin (250mg)
3)Megapen Caps:
( AMPICILLIN-250MG + CLOXACILLIN-250MG )
Megapen bhi ek antibiotic hai jo ki combination medicine hai, Isme ampicilin aut cloxacilin mila hua hai jo ki bactetial infection ke liye use me liya jata hai.
#Dono me se kisi ek(Ampilox or Megapen) le sakte hai.
#Agar Apko Ampicilin ya Cloxacilin React karta hai toh sabse pehle apne doctor ta local pharmacist se salah le.
4) Candibiotic Plus Ear Drop:
(Beclomethasone (0.025 %w/v) + Neomycin (0.5 %w/v) + Clotrimazole (1 %w/v)
Mechanism of Action
Isme Beclomethasone, Clotrimazole aur Neomycin mila hai.
Beclomethasone ek Steroid hai jo ki kaan me redness, itching aur swelling ko kam karta hai.
Clotrimazole ek Antifungal hai ko Fungi ki growth ko rokta hai kaano me.
Neomycin ek Anti-biotic hai joki bacteria ke growth ko rokta hai.
5) Drep Ear Drop:
( Beclomethasone (0.025 %w/v) + Neomycin (0.5 %w/v) + Clotrimazole (1 %w/v) )
Yeh kaano me itchiness, redness , swelling aur Ear Discharge(Kaan ka behna) ise control karta hai
Mechanism of Action
Yeh four medicines ka combination hai.
Neomycin, Beclomethasone, Clotrimazole aur Lignocaine.
Neomycin ek antibiotic hai jo bacteria ke growth ko rokte hai.
Beclomethasone ek steroid hai jo ki kaano me redness, itching aur swelling ko kam karta hai.
Clotrimazole ek antifungal hai jo ki fungi ke growth ko rokta hai.
Lignocaine ek Local anesthetic hai jo ki Pain ko kam karta hai Nerves ke signal ko brain tak na pahuchne ke through ise numb karke
#Agar Kaano me Wax jama hai toh uske liye kuchh Drops ko jaante hai-
6)Drep Wax:
( BENZOCAINE-2.7%W/V + CHLOROBUTANOL-5%W/V + PARADICHLOROBENZENE-2%W/V + TURPENTINE OIL-15%W/V)
Mechanism of Action
Yeh four medicine ka combination hai
Turpentine Oil, Chlorbutol, Benzocaine aur Paradichlorobenzene
Turpentine Oil ek Lubricant hai.
Chlorbutol ek preservative hai.
Benzocaine ek local anesthetic hai jo ki nerves se pain ke signal ko brain tak jaane se block karta hai.
Paradichlorobenzene ek ear wax softener hai jo ki hard wax ko soft karta hai aur antibacterial and antifungle action bhi deta hai.
7) Waxonil Activ Drop:
(BENZOCAINE-2.7%W/V + CHLORBUTOL-5%W/V + PARADICHLOROBENZENE-2%W/V )
8) ClearWax drop:
(BENZOCAINE-2.7%W/V + CHLORBUTOL-5%W/V + PARADICHLOROBENZENE-2%W/V + TURPENTINE OIL-15%W/V)
yeh bhi same Wax Softener hai, Wax clean karne ke liye teeno me se koi ek lele teeno best result dete hai.
9)Enteromycetin Optic Ear Drop:
(Benzocaine 1% w/v + Chloramphenicol 5% w/v)
Isme two medicine combination hai.
Benzocaine aur Chloramphenicol
Benzocaine ek local anesthetic hai jo ki nerves se brain ko jaane wale pain signal ko numb karke hume kaan ke dard se rahat deta hai.
Chloramphenicol ek antibiotic hai jo ki bacteria ke growth ko rokta hai.
Toh yaha tak humne samjh liya kaan ke dard(Ear Pain) ke kaarano ko, aur jana kuch best medicines ke baare me jo Kaan me dard ke treatment ke liye benefical hai.
Hope this valuable information will help you alot in this topic and you will take better advantage of it.
Read, learn and Share with your family, freinds and with your loved ones. And let them get aware about it also.
Thank You!
Great suggest
ReplyDeleteThanks dear, Keep Sharing it with others also,
ReplyDelete