Skip to main content

Contact Us

 Facebook Profile

Email - hackeraftab3l1t3@gmail.com


Comments

Popular posts from this blog

Oral Rehydration Salt( ORS ) Liquid ke fayde(benefits) jaane. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!      Aaj hum jaanenge Oral Rehydration Salt( ORS ) Solution/Liquid kya hota hai aur Jaanenge inke kya kya faide hote hai, Isko ghar me kaise bana sakte hai aur end me dekhenge kuch Popular ORS brands ko. Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic. Oral Rehydration Salt(ORS) Solution kya hota hai? Hamare body me kisi wajah se paani ki kami hone par hum ORS solution lete hai, paani ke kami hone ke karan hamare shareer me Electrolytes ka balance bigad jata hai. Electrolytes, body me minerals jaise(Sodium, Potassium, Chloride, Bi-Carbinate, Magnesium Chloride Etc) ka Solution hota hai.Body me electrolytes ke balance bigad ne se hamare body me Dehydration(Paani aur minerals) ki kami ho jati hai. Toh isi ko maintain rakhne ke liye hume ORS ka Solution diya jata hai.       ORS hume Diarrhea(Dast) aur Vomitting(Ulti) hone par lena bahut helpful hota hai. ORS Solution ko hum ghar me bhi bana sakte hai patient ki condition ke according(Ni...

Pet ke Keede(Stomach/Intestinal Worm) se hai pareshan? Jaaniye iske kaaran aur Ilaj bade hi asaan Bhasha me.

Hello Everyone!      Aaj hum Jaanenge Hamare Pet me ya Aant(intestine) me keede kaise hojate hai aur samjhenge inse bacha kaise jaye aur end me jaanenge In keedo ka Ilaj kaise kiya jaye. Toh chaliye bina waqt gawaye shuru karte hai hamara aaj ka topic. Pet me keeda(Stomach Worm)hona kya hota hai?  Insani shareer me stomach ya intestine me keede ek type ka Parasite(parjeevi) hote hai. Yeh insano ke intestine me rehte hai waha ke ingredients ko khaate hai aur intestine ke layers se Khoon chuste hai. Yeh intestine ke parasites intestine(Aanto) se nutrition lete hai. Yeh keede intestine me zinda toh rehte hai par reproduction nahi kar paate. Zaruri nahi hai ke jinke bhi pet me keede ho unhe iske symptoms dikhe hi, toh kuch ko symptoms dikhte hai jaise Thook bahut ana, Latrine ke raaste me Itching hona, pet me dard hona, pet bhaari lagna, gas banna ya Sharir ka ghatna etc. Toh jinke pet me bhi keede hongi unhe ilaj ki zarurat hai jinhe zyda tar medicines ke zariye thik ki...

Bhook nahi lag rahi hai? Khaane ka man nhi hota hai? Jaaniye behtareen upay (Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!   Aaj hum jaanenge Bhook nahi lagne(Loss of Appetite) ke kaaran, Iske symptoms kya kya hote hai, Aur iske ilaj me diye jaane wali best medication combination ke baare me. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte h..   Bhook nahi lagna kya hai? What is Loss of Appetite? Jab hume khaane peene ki ichchha kam hone lagti hai toh is condition ko bhook nahi lagna kehte hai. Iska matlab yeh hai ke aapko jitna bhook pehle lagta tha, ab utna bhook nahi lagta. Khaana khaane ke baat se hi aapka jee machlaane lagta hai aur lagta hai ki khaane ke baad ulti aajayegi. Is condition me achanak apka body weight kam hone lagta hai. Lambe samay se bhook na lagne ki condition ko medical term me Anorexia bolte hai. Bhook na lagne ke Psychological karan bhi ho sakte hai jaise chinta, stress, depression, tanao etc. Bhook nahi lagne ke Symptoms kya kya hote hai?  - Khaane ka taste ko napasand batana.  - Khaane ka smell aate hi khaane ko door kardena.  - Woh khaana bhi pasan...