Hello Everyone!
yeh ek best artificial Vitamin-E ka source mana jata hai.
Evion 600 Caps:
Aaj yaha hum jaanenge Evion 400 Capsules jisme Vitamin-E( Tocopheryl Acetate) as a main ingredient hota hai, Jaanenge Evion 400 capsule kya hai, Iske fayde kya kya hai, aur end me jaanenge iska Istemal kaise karte hai.
Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic.
[ Note- Kisi bhi Medicine ko lene se pehle apne Doctor ya ek Chemist se zarur consult kare. ]
Evion 400 capsule kya hai?
Evion 400 capsules, Vitamin-E supplement hai jisme Tocopheryl Acetate ek main ingredient mila hai.
Vitamin-E ek Fat-Soluble Vitamin hai aur ek powerful Anti-oxidant hai jo ki hamare overall Muscle Skin aur hair ke liye bahut beneficial hota hai.
Anti-Oxidants hamare body me cells ko kharab hone se bachata hai. Yeh anti-oxidants hamare shareer me Free-Radicals(ek type ka single cell tissue hoti hai jo hamare body me bahut tezi se pair banati hai jiske karan other active cells ko nuksan pahucha deti hai) toh yeh anti-oxidants in free-radicals ko kam karta hai. Jis wajah se hamare Muscle skin aur hair healthy rehte hai.
Ise hum Topically(body ke skin par ya Hair par) bhi use kar sakte hai aur Orally bhi use kar sakte hai.
Vtamin-E ke kuch benefits(Fayde) ko jaante hai
Vitamin-E, Muscle Skin aur Hair ke health ke alava bhi bahut saari chizo me helpful hai jaise-
- Yeh Immune Sytem ke Mechanism ko boost karne me help karta hai taaki yeh Virus, Bacteria aur dusre Pathogenic(Harmful) Organism se thik se fight kar sake.
- Yeh Red Blood Cells( RBCs )
ke banne me bhi helpful hai.
- yeh Vitamin-K hamare body me thik se utilise karne me help karta hai.
- Vitamin-E Yukt bhojan hamare Eye Sight( Aankhi ki Roshni ) ke liye bhi helpful hota hai.
- Vitamin-E, Hair-Fall (Baalo ka Jhadna), Lambe Baalo ke liye, aur Healthy Scalp ke liye bhi bahut helpful hota hai.
Vitamin-E ke kuchh Natural Sources ko dekhlete hai
- Green Leaves vegetables( Hare Pattedar Sabjiya ) jaise Paalak(Cabbage), Gobhi(Broccoli), Shalgam ka Saag(Ternip green), Kuch Mirch( Peppers) me, Beans me,
- Avocado
- Salmon Fish me.
- Lean Meat.
- Ande me (Eggs)
- Nuts me ( jaise Almond, peanuts etc)
- Sunflower ke Beej me.
- Kuchh vegetable oils me jaise Sunflower Oil,
Corn(Makke) ka Oil, Soyabean ka Oil, Wheat Germ Oil me.
- Fish Oil se bhi Vitamin E hume milta hai
#Chaliye ab dekhte hai Vitamin-E ke kuch best Medicinal Sources ko.
1) Evion 400 Caps:
( Tocopheryl Accetate IP 400mg )
- Yeh capsule form me available hai.
- Evion 400 ka Capsule Procter & Gamble Hygiene and Health Care Ltd Company Dwara Supply kiya jata hai.
-Yeh 10 Capsules ka ek Patta(Strip) Hota hai.
- Iska Current Price(Date as on 26, June, 2022) :- MRP 35.9 hai.
- Ise hum Topically Muscle skin aur Baalo me Laga bhi sakte hai aur Orally khaa bhi sakte hai.
- Iske Dose ke liye Apne Doctor ya Local Pharmacist se pehle zarur consult kare kyuki kisi me medicine ka Dose patient ke Age, Body weight aur Condition par vary karta hai.
- Evion ke aur bhi Vitamin E ke capsules alag alag Power me Available hai jaise-
Evion 200 caps:
( Tocopheryl Accetate IP 200mg )
( Tocopheryl Accetate IP 600mg )
Evion Forte Caps:
(Lycopene 5000 mcg, Eicosapentaenoic Acid(EPA) 90mg, Docosahexaenoic Acid(DHA) 60mg, Vitamin-C 150mg and Vitamin-E 50 IU(D-alpha Tocopherol)
Comments
Post a Comment