Hello Everyone!
yeh tablets ek Stool Softener hai jo ki Kabz(Constipation) ko aur isse related problems jaise Gas, Bloating, pet Bhara lagna
Cremalax tablets bhi Constipation(Kabz) ko thik karne ke liye use kiya jata hai.
yeh bhi constilation ka liye use kiya jata hai.
yeh bhi constipation ke liye use kiya jata hai
yeh bhi constioation ke liye use me ata hai.
yeh bhi kabz ko thik karne ke liye use me ata hai.
yeh bhi constipation ke liye use kiya jata hai.
yeh bhi Constipation aur Indigestion ke liye use kiya jata hai.
Aaj hum yaha jaanenge Kabz(Constipation) kya hota hai, Iske hone ke kaaran ko samjhenge, Aur End me iske treatment aur Kuch best Medicines ke baare me jaanenge jo Kabz(Constipation) ko thik karne me istemal kiya jata hai.
Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka Topic-
Kabz(Constipation) kya hota hai?
Kabz ek general problem hai. Generally, Hafte me teen se kam agar Potty(Latrine) hote hai toh use Kabz yani Constipation kaha gaya hai.
Kabz me hum thik se stool ko pass nahi kar paarhe hote hai ya Hamare Large Intestine(Badi Aant) me Stool(mal) ikattha hojata hai aur hard ho jata hai. Jisko pass karne me hume bahut taklif hoti hai.
Generally, hamare pet me khaane se paani ka absorption zyda hone lagta hai tab hume Kabz(Constipation) hota hai. Kabz kuchh dawaiyo se bhi ho sakta hai, Lifestyle me Physical Exercise na karna aur Umar ke badhne ke karan bhi kabz ho sakti hai.
Kabz logo me alag alag tareeke se ho sakta hai, Kisi ko kabhi-kabhi kabz hoti hai toh kisi-kisi ko yeh Chronic(Lambe samay se) hoti hai jo ki bahut problem ka karan ban jati hai.
Kabz(Constipation) ke Symptoms jaane
- Kabz me Stool(mal) hard hojata hai jis wajah se potty(latrine) ke dauran zyda zor lagana padta hai.
- kabz se affected log daily Latrine nahi jaate hai jis wajah se inki problem aur badh jaati hai.
- Kabz me logo ki Jeebh(tongue) Safed ho jaati hai, Khaane ka swad khatam hojata hai aur Muh hamara bad smell karne lagta hai.
- Kabz me logo ko bhook nahi lagti hai aur ulti jaisa unhe mehsoos hota rehta hai.
- Bathroom karne ke baad bhi lagta hai thik se bathroom nahi kar paye hai aur pet me dard hota hai.
- Kabz me logo ka pet dard aur pet bhari bhari lagta hai.
- Badhazmi(Indigestion) ki problem hojati hai.
- Laziness bana rehna, Kisi kaam karne me man na lagna yeh sab bana rehta hai.
- Skin me Pimples aur Funsi nikal jana.
Kabz(Constipation) ke kaarano ko samjhiye
- Hamare body me Large Intestine(Badi Aant) ka main kaam hota hai khaane se paani ko absorb karna. Absorption ke baad, khaana Stool(Mal) ban jata hai. Fir Large Intestine ki Muscles, Stool(mal) ko Rectum ke through bahar nikal deta hai. Jab yeh Stool(mal) zyda samay tak Large intestine me theher jata hai toh Stool jo hai woh hard ho jata hai aur ise pass karne me fir bahut dikkat aati hai jise hum Kabz kehdete hai.
- Dehydration(Paani ki kami) ke karan bhi kabz ho sakta hai.
- Kam fibre wale khana zyda khaane se.
- Physical Exercise kam karne se.
- Latrine karne me taal matol ya deri karne se.
- Kuch medicines ke intake se jaise zyda Calcium wale Antacid aur Pain Killers se.
- Pregnancy ke karan bhi ho sakta hai kabz.
- Maide se bane aur Mirch-Masaledar khaane ka sevan karne se.
- Raat me der se khaana khaane ke aadat se.
- Der raat tak jaagne ki aadat se.
- Chai, Coffee, Tambaku(Tobacco), Cigarette etc ka zyda istemal karne se.
- Khaana ka pache bina hi dubara khaana khaane se.
- Chinta ya Stressfull(Tanao-yukt) Life jeena.
- Hormone ka imbalance ya Thyroid ka problem hone se.
Kabz(Constipation) me kya khaan-paan(Diet) hona chahiye?
- Zyda se zyda Fruit, Vegetables aur Fibre wala khana khaye.
- Fruits me (Angoor, Papita, Anjeer, Ananas, Khubani aur Nashpaati ka zyda sevan kariye) yeh saare fruits Kabz me bahut beneficial hote hai.
- Vegetables(Sabjiyo me) Patta Gobhi, Gaajar, Brocolli Aur Paalak Etc ka zyda sevan kare.
- Daily Kam se kam 8 se 10 glass paani piye, Aur liquid wali chize zyda khaye.
- Roz 2 chammach Gudd garam doodh ke sath le.
- Isab Ghol ki bhoonsi kabz me bahut faide mand hoti hai. 10gram Isab Ghol ki Bhoonsi ko Subah -Sham Paani ke sath lijiye.
#Chaliye ab dekhte kuchh best Medicines ko jo Kabz(Constipation) ko thik karne me helpful hai-
1) Dulco Flex tabs:
(Bisacodyl IP 5mg)
Insab ko thik karne ke liye istemal me liya jata hai.
DulcoFlex tablet hume Overnight relief deta hai Constipation se(6-8 Ghanto me).
Zydatar ise log 1-2goli khana khaane ke baad Raat ko lete hai taaki Dusrr din Morning me ache se Khulasa Latrine ho paye.
Isme Bisacodyl mila hai Jo ki ek active Laxative ki tarah work karta hai Stool(mal) ko soft karke Constipation ko khatam karne me.
2) Dulcolax tabs:
(Bisacodyl Usp 5mg)
Yeh bhi Constipation ke treatment ke liye use me liya jata hai.
3) Cremalax tabs:
(Sodium Picosulphate 10mg)
Isme Sodium Picosulphate mila hai jo ki ek laxative hai.
Ise work karne me 6 se 12 ghante lag sakte hai, isi liye ise raat me sone waqt khaane ke baad lene ke liye Recommend kiya jata hai.
4) Mom Plus Syrup:
(Sodium Picosulfate 3.33mg + Liquid Paraffin 1.25ml + Milk Of Magnesia 3.75ml)
Milk of Magnesia ek combination laxatives hai jo ki Kabz(Constipation) ko thik karta hai.
Isme Three Combination medicine hai- Sodium Picosulfate, Liquid Paraffin aur Milk of Magnesia.
Sodium Picosulfate ek Stimulant Laxative hai jo ki Persitalsis(Intestine me Wave jaisa ek movement) ko badhata hai taaki Stool(mal) Aage badhe.
Liquid Paraffin ek Lubricant Laxative hai jo Stool me paani aur fat ko retain banaye rakhne me helful hai.
Milk of Magnesia ek Osmotic Laxative hai jo jo ki intestine me Osmosis ke through paani laane ka kaam karta hai, aur yeh sath me milkar Stool ke pass hone ke process ko asaam banate hai.
5) Milk of Magnesia Liquid Ice Cream:
( Milk of magnesia 8% w/w )
Yeh Liquid kabz(Constipation) ke treatment ke kiye use kiya jata hai...
Ise kaam karne me kuch din lag jaats hai (upto 3 days)
Isme Milk of Magnesia mila hai jiska kaam-
Milk of Magnesia ek Osmotic Laxative hai jo jo ki intestine me Osmosis ke through paani laane ka kaam karta hai, aur yeh sath me milkar Stool ke pass hone ke process ko asaam banate hai.
6) Cremaffin Constipation Relief Liquid(Mixed Fruit):
(Milk of Magnesia 11.25ml + Liquid Paraffin 3.75 ml)
7)Cremaffin Plus Syrup(Sugar Free):
(Sodium Picosulfate 3.33mg + Liquid Paraffin 1.25ml + Milk Of Magnesia 3.75ml)
Yeh bhi kabz(Constipation) ke liye use kiya jata hai.
8)Cremaffin Constipation Relief Liquid(Mint):
(Milk of Magnesia 11.25ml + Liquid Paraffin 3.75 ml)
9) Smuth Syrup:
(Sodium Picosulfate 3.33mg + Liquid Paraffin 1.25ml + Milk Of Magnesia 3.75ml)
10) Smuth L syrup:
(Lactitol Monohydrate)
11) Cremalax Syrup:
(Sodium Picosulphate 5mg)
12) Duphalac Syrup:
( Lactulose 3.335 gm/5ml )
13) Evict Syrup:
( Lactulose 10gm )
14) Emty Syrup:
( Lactulose 10gm )
15) Laxit Plus Syrup:
(Sodium Picosulfate 3.33mg + Liquid Paraffin 1.25ml + Milk Of Magnesia 3.75ml
16) Softovac Bowel Regulator Powder:
17) Softovac SF:
Toh yaha tak humne samjha Kabz(Constipation) ke baare sab kuchh, Jana iske treatment ke baare aur end me dekha Kuch best Medicines ko jo Kabz(Constipation) ko thik karne me istemal hote hai.
Toh share kariye is valuable information ko apne family aur freinds ke sath bhi aur khud ke sath unhe bhi mauka de is Article aur mere sabhi articles ka benefit uthane me.
Till then, Keep Reading & Be Healthy.
Thank You!
Comments
Post a Comment