Skip to main content

MEDERMA, SKINLITE, SKINSHINE, NO-SCARS, MEDISALIC, ELOSONE-HT CREAM etc ke baare me complete details.

Hello Eveyone!
    Toh aaj hum yaha jaanenge MEDERMA, SKINLITE, SKINSHINE, MEDISELIC, ELOSONE-HT etc Creams ke baare me.Yeh Creams kya hai, Inke Uses kya hai, Inke Fayde(Benefits)ke Hai aur Nuksan(Loss) Kya hai.

Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic.

MEDERMA, SKINSHINE, SKINLITE, NO-SCARS, MEDISELIC, ELOSONE-HT etc Creams kya hai?



Yeh Saari Creams Melasma ko thik karne ke liye istemal kiya jata hai.
Melasma ek aisi condition hai jisme chehre par bhoore Dhabbe( Brown Spots) banne lagte hai, khaas Naak(Nose), Gaal(Chick), Thuddi(Chin) aur Jabde ke paas. Yeh Brown Spot(Bhoore Dhabbe) Gardan(neck), Kandhe(Shoulder) aur Haath tak jaa sakte hai.
           MEDERMA, SKINSHINE, SKINLITE , NO-SCARS, MEDISELIC, ELOSONE-HT etc Creams me teen Common type ke Molecules hai(Hydroquinone, Tretinoine aur Mometasone) jo ki skin ke dhabbo ko kam karne ke liye istemal kiya jata hai.
           Hamare Shareer me Melanocytes naam ka ek tissue hota hai jo zimmedar hota hai Melanin ko banane me, aur yeh Melanin hi zimmedar hota hai chehre par Yeh bhoore Dhabbe dikhane ke liye. Melanin hamare Baalo(Hairs) aur Skin ko rang deti hai.
           Melasma ki problem Females(Mahilao) me zyda dekha jata hai Males(Mardo) ki tulna me.
Yeh bachcho se lekar 50 saal ki umar wale logo ko hosakti hai.
            Pregnant Women aur Jinke Skin ka rang dark hota hai unhe zyda khatra hota hai Melasma hone ka.
            Kuch Melasma jaise Pregnancy ke waqt hone wale Melasma, pregnancy ke baad thik hojate hai.Toh kuchh ka ilaj karna pad jata hai.


Melasma Kaise banta hai?




Hamara Shareer Vitamin-D ko banane ke liye Sun(Suraj) ki kuch Ultra-Violet(UV) Rays ko absorb karleta hai. Jabki, Harmful UV Rays se skin ke niche ki layers(Hypodermis) ko bachane ke liye hamara Skin Melanin ek dark colour ka pigment banata hai. Yeh Melanin, Hamare body me Melanocytes banate hai. Aur yeh Melanin banne ka process ko Melanogenesis kehte hai. Melanin banne ke baad yeh Melanosomes naam ke ek angg me Collect hojate hai, fir Keratinocytes, Cells me  zarurat padne par ise release karti hai.

Melasma ke Treatment ke baare jaante hai.




Agar melasma koi Contraceptive Pills khaane ke baad ya Pregnancy ke waqt hua hai toh wah khud ba khud thik hojata hai. Lekin jab yeh Melasma ka problem lambe samay se hai toh iska Dermatological Treatment kiya jata hai. Halaki kuch patients me yeh kuch waqt ke baad yeh wapas(Reform) bhi ho sakte hai.

- Iske treatment sabse best chiz aap jo kar sakte hai woh yah hai ki aap Suraj ki kirno(Sun-rays) se bachne ke liye ek acha Sunscreen(ek aisa cream jo Suraj ki harmful UV rays se skin ko bachata hai) iska istemal kare. Jab jab dhoop me bahar jaye toh Sunscreen lagale. Kyuki Melasma ka ek main reason Suraj ki UV rays hai.

- Melasma ko thik karne ke liye Dusra jo upay hai woh koi Dermatologist se milkar iske treatment ke baare baat kare apni condition ke according. Jisme Skin ka colour halka karne wale agents jaise Chemical Pills, Cream Laser Treatment karwane ki salah de sakte hai.

#Chaliye ab dekhte hai kuch aisi creams ko jo Pigmentation ya Hyper-pigmentation(Melasma/Skin ke bhoore Dhabbe) ko thik karne ke liye use kiya jata hai.

#Yaha bataye jaane wale Almost Saari Cream Steroidal Creams hai, (Steroid ka zarurat se zyda istemal Skin ke liye harmful hosakta hai.)

#Note- Kisi bhi medicine ko istemal karne se pehle apne Doctor ya Chemist/Local Pharmcist se zarur consult kare. Self Medication is Harmful.




1) SkinLite Cream:
[ hydroquinone (2% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]


yeh cream Melasma ko thik karne ke liye istemal kiya jata hai. Yeh quick skin ke renewal me bhi helpful hai. Aur skin me hone wale Redness, Itching aur Swelling se bhi relief deta hai.

Yeh Cream kaam kaise karti hai?

Yeh Cream Three medicine ka combination hai- Hydroquinone, Mometasone aur Tretinoin.
Hydroquinoine ek Skin lightening Cream hai.Yeh Melanin(Skin ke pigment) ko kam karta hai jiske karan skin me Darkness aajata hai.Yeh effect Reversible hai(Dubara Dhabbe ho sakte hai).
Tretinoin ek Vitamin-A hai jo skin ke quick renewal me helpful hai.
Mometasone ek Steroid hai jo me Prostaglandan(Ek chemical messenger jo responsible hai skin me Redness, Itching aur Swelling ka) ise kam karne me helpful hai.

Is Cream ko lagane ka tarika?

Iske lagane ka dose pateint ki condtion , Melasma ka failne ka Area ko dekhkar hi decide kiya ja sakta hai.Iske Dose ke liye apne Doctor se Zarur Consult kare.
Genrally, Jo bhi skin ka area affected hai us affected area ko saaf karke usme patla layer lagaya jata hai. Ise Genrally, Raat ke waqt lagane ko Recommend kiya jata hai.

2) Elosone-HT Cream:
[ hydroquinone (2% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]




Yeh cream bhi melasma ke liye use kiya jata hai.

3) Skin Shine Cream:
[ hydroquinone (2% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]




Yeh Cream bhi Melasma ke treatment ke liye use kiya jata hai.

3) No Scars Cream:
[ hydroquinone (2% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]


yeh bhi Melasma ke treatment ke liye Cream hai.

4) Melacare Cream:
[ hydroquinone (2% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]



Yeh Cream bhi Melasma ke treatment ke liye use kiya jata hai.

5) Melacare Forte Cream:
[ hydroquinone (4% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]


Yeh bhi Melasma ke treatment ke liye use kiya jata hai.

6)Medisalic Cream:
[ hydroquinone (2% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]



Yeh bhi Melasma ke treatment ke liye use me liya jata hai.

7) FaciCare Cream:
[ hydroquinone (2% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]


yeh bhi melasma ke treatment ke liye use me liya jata hai.

8) Melalite 15 Cream:
( HYDROQUINONE-2%W/W + OCTINOXATE-9%W/W + OXYBENZONE-2.5%W/W )


yeh cream skin me Hyper-pigmentation ke treatment ke liye use kiya jata hai.

Isme Three medicine ke combination hai- Hydroquinone, Oxybenzone aur Octinoxate.
Hydroquinoine ek Skin lightening Cream hai.Yeh Melanin(Skin ke pigment) ko kam karta hai jiske karan skin me Darkness aajata hai.Yeh effect Reversible hai(Dubara Dhabbe ho sakte hai).
Octinixate aur Oxybenzone ek Organic Compound hai jo ki Suraj ki Ultraviolet Rays ko absorb karke Skin ko damage hone se bachata hai.


9)Melalite Forte Cream:
 (Hydroquinone 4% w/w)


yeh cream bhi hyper-pigmentation ko treat karne ke liye use kiya jata hai.Yeh skin ke dark patches ko lightening karne me helpful hai.

10) Clear Scars Cream:
[ hydroquinone (2% w/w) + Tretinoine (0.025% w/w) + Mometasone (0.1% w/w) ]


yeh cream bhi melasma ke treatment k liyebuse me liya jata hai.


Toh yaha tak humne jana In saari Cream ke baare, Samjha Melasma kya hota hai,  Aur samjhe iske Treatment ke baare.aur end me dekha kuch best Brand Creams ko jo ki Melasma ke Treatment ke liye use kiye jaate hai.

Share kariye is valuable Article ko apne Family Memebers aur Dosto ke sath aur unhe bhi Iska faida lene ke mauka de.
Till then,  Keep Reading And Be Healthy
Thank You!

Comments

Popular posts from this blog

Oral Rehydration Salt( ORS ) Liquid ke fayde(benefits) jaane. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!      Aaj hum jaanenge Oral Rehydration Salt( ORS ) Solution/Liquid kya hota hai aur Jaanenge inke kya kya faide hote hai, Isko ghar me kaise bana sakte hai aur end me dekhenge kuch Popular ORS brands ko. Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic. Oral Rehydration Salt(ORS) Solution kya hota hai? Hamare body me kisi wajah se paani ki kami hone par hum ORS solution lete hai, paani ke kami hone ke karan hamare shareer me Electrolytes ka balance bigad jata hai. Electrolytes, body me minerals jaise(Sodium, Potassium, Chloride, Bi-Carbinate, Magnesium Chloride Etc) ka Solution hota hai.Body me electrolytes ke balance bigad ne se hamare body me Dehydration(Paani aur minerals) ki kami ho jati hai. Toh isi ko maintain rakhne ke liye hume ORS ka Solution diya jata hai.       ORS hume Diarrhea(Dast) aur Vomitting(Ulti) hone par lena bahut helpful hota hai. ORS Solution ko hum ghar me bhi bana sakte hai patient ki condition ke according(Ni...

Pet ke Keede(Stomach/Intestinal Worm) se hai pareshan? Jaaniye iske kaaran aur Ilaj bade hi asaan Bhasha me.

Hello Everyone!      Aaj hum Jaanenge Hamare Pet me ya Aant(intestine) me keede kaise hojate hai aur samjhenge inse bacha kaise jaye aur end me jaanenge In keedo ka Ilaj kaise kiya jaye. Toh chaliye bina waqt gawaye shuru karte hai hamara aaj ka topic. Pet me keeda(Stomach Worm)hona kya hota hai?  Insani shareer me stomach ya intestine me keede ek type ka Parasite(parjeevi) hote hai. Yeh insano ke intestine me rehte hai waha ke ingredients ko khaate hai aur intestine ke layers se Khoon chuste hai. Yeh intestine ke parasites intestine(Aanto) se nutrition lete hai. Yeh keede intestine me zinda toh rehte hai par reproduction nahi kar paate. Zaruri nahi hai ke jinke bhi pet me keede ho unhe iske symptoms dikhe hi, toh kuch ko symptoms dikhte hai jaise Thook bahut ana, Latrine ke raaste me Itching hona, pet me dard hona, pet bhaari lagna, gas banna ya Sharir ka ghatna etc. Toh jinke pet me bhi keede hongi unhe ilaj ki zarurat hai jinhe zyda tar medicines ke zariye thik ki...

Bhook nahi lag rahi hai? Khaane ka man nhi hota hai? Jaaniye behtareen upay (Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!   Aaj hum jaanenge Bhook nahi lagne(Loss of Appetite) ke kaaran, Iske symptoms kya kya hote hai, Aur iske ilaj me diye jaane wali best medication combination ke baare me. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte h..   Bhook nahi lagna kya hai? What is Loss of Appetite? Jab hume khaane peene ki ichchha kam hone lagti hai toh is condition ko bhook nahi lagna kehte hai. Iska matlab yeh hai ke aapko jitna bhook pehle lagta tha, ab utna bhook nahi lagta. Khaana khaane ke baat se hi aapka jee machlaane lagta hai aur lagta hai ki khaane ke baad ulti aajayegi. Is condition me achanak apka body weight kam hone lagta hai. Lambe samay se bhook na lagne ki condition ko medical term me Anorexia bolte hai. Bhook na lagne ke Psychological karan bhi ho sakte hai jaise chinta, stress, depression, tanao etc. Bhook nahi lagne ke Symptoms kya kya hote hai?  - Khaane ka taste ko napasand batana.  - Khaane ka smell aate hi khaane ko door kardena.  - Woh khaana bhi pasan...