Skip to main content

Pet ke Dard(Abdominal/Stomach Pain) se hai pareshan? Jaaniye iska Ilaj(Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!
  Aaj hum jaanenge Pet Dard(Stomach Pain) ke baare me. Samjhenge pet ke dard ke kaarano ko, aur Jaanenge kuch best medicines ke baare me jo Pet me Dard se rahat ke liye helpful hota hai.

Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic.

Pet ka dard(Stomach Pain) Kya hota hai?




 Pet me dard bahut hi aam ho gaya hai kyuki hamari lifestyle bahut hi unorganised ho chuki hai. Jaise Der tak baithe baithe kaam karna, Samay ke kami ke karan Junk Foods zyda khaana, Tail-masale wale khaana zyda khaana, ya time se khaana na khaana, Thik se nind nahi lena etc.
Pet ka dard mild se lekar severe tak ho sakta hai.

Pet ke Dard ke Kaaran(Causes) ko jaante hai



 - Indigestion(Apach) ke karan.

 - Kabziyat ke karan pet me dard ho sakta hai.

 - Stomach Flu ke karan.

 - Menstrual Period(Maasik dharm) ke dauran Aaithan(Cramps).

 - Food Poisioning ke karan.

 - Lactulose Intolerence( Doodh aur Dairy products pe paye jaane wali natural sugar ko digest nahi kar paane ke karan).

- Pet me Ulcer ke karan.

- Pelvic area me inflamation hone ke karan.

- Hernia ke karan.

- Cron's Disease ke karan (Digestive System me Sujan).

- Normal se zyda Khaana khalene se.

- Tail, mirch masala wala khaana lambe samay tak khaane se.
- Ganda paani(Polluted water) peene se.

- Bahar ka khaana jaise Pizza, burger Samosa etc zyda khaane se.

 - Khaali pet rehkar zyda kaam karne se.

 - Infected Food ko khaalene se.

 - Dry Meat khaane se.

 - Khaana khane ke baad zyda tez daorne se.

 - Gas ki problem se.

 - Acidity hone ke karan se bhi pet me dard ho sakta hai.
 
Pet ke dard ke kuch Preventions ko jaante hai



 -Khaane ki speed ko kam kare-
     Zyda tez-tez aur bada bada niwala khaane se ho sakta hai ki aap khaane ke sath sath Hawa bhi nigal le jis karan gas ki problem ho sakti hai aur pet dard ho sakta hai.Toh chhota chhota bite le aur ache se chaba kar khaye aur dheere dheere khaye.

- Khaane me Tala-bhuna aur masale daar khaana kam khaye.

- Agar aapko koi specific khaana khaane se jaise Dairy products(Doodh, paneer, ghee) ya kuch aur khaane se Pet me aithan ya dard hota hai toh iska matlab hai ki aap ko woh khaane se senstivity hai toh turant apne Doctor se salah le.

- Jab jab paani pyaas lage paani piye.

- Apne haath hamesha kisi kaam ko karne ke baad ya kisi chiz ko chune ke baad dhoye, Kyuki infection ke karan bhi pet me dard ho sakta hai.

- Stressless( Tanao-mukt) rahe.


#Chaliye ab jaante hai kuch best medicines ke baare me jinhe Pet ke dard se rahat ke liye istemal me laya jata hai-

Pet ke Dard(Stomach Pain) me diye jaane wali kuch best Medicines

1) Cyclopam tabs:
   (Dicyclomine 20mg + Paracetamol 500mg)


yeh ek combination medicine hai jo ki abdominal pain se rahat ke liye diya jata hai.
Yeh pet me pard ya Aithan(Cramps) ko bhi control karta hai.
Yeh medicine pet dard ke sath sath body pain aur fever jaise symptoms ko bhi thik karne me helpful hai.

Isme two Combination medicine hai-
Dicyclomine aur Paracetamol
Dicyclomine ek anti-cholinergic hai jo ki stomach aur gut(Intestine) ke muscles ko relax karta hai, Yeh muscle ke contractions(Spasm) ko rokta hai jis wajah se yeh Pet me Cramps(Aithan), Dard, Bloating aur Discomfort ko thik karta hai.
Paracetamol ek Anti-pyretic(Fever Reducer) aur analgesic(Pain reducer) hai.


2) Colinol tabs:
    (Dicyclomine 20mg + Paracetamol 500mg)



Yeh bhi ek anti-Cholinergic medicine hai ji ki pet me dard aur aithan ke sath body pain aur fever ke liye use kiya jata hai 
Iske chemical Compostion same hai Cyclopam ki tarah(Dicyclomine aur Paracetamol).

3)Colimex tabs:
  (Dicyclomine 20mg + Paracetamol 500mg)


yeh medicine bhi pet ke dard ke liye use kiya jata hai.
Yeh medicine bhi combination medicine hai same Cyclopam aur Colinol ki tarah.

4) Drotin-M tabs:
  (Drotaverine 80mg -Mefenamic Acid 250mg)


yeh ek anti-spasmodic medicine hai jo ki abdominal pain ke liye use kiya jata hai.
Yeh ek Combination medicine hai jisme-.Drotaverine aur Mefenamic Acid mila hai.
Drotaverine ek anti-spasmodic hai jo ki pet me hone wale contractions(Spasm/Aithan) ko control karta hai.
Mefenamic Acid ek Non-steroidal Anti-inflamatory Drug( NSAID) hai jo ki abdominal pain aur swelling ko kam karta hai.

5) Spasmonorm tabs:
  (Camylofin 50mg + Diclofenac 50mg)


yeh bhi ek combination medicine hai jo andominal cramps(aithan) aur dard ke liye use kiya jata hai.
Isme two medicine hai- Camylofin aur Diclofenac.
Camylofin ek anti-cholinergic hai jo ki stomach aur gut(Intestine) ke muscles ko relax karta hai, Yeh muscle ke contractions(Spasm) ko rokta hai jis wajah se yeh Pet me Cramps(Aithan) aur dard ko kam karta hai.
Diclofenac ek Non-steroidal Anti-inflamatory Drug( NSAID) hai jo ki abdominal pain aur swelling ko kam karta hai.

6)Anafortan tabs:
 (Camylofin 25mg + Paracetamol 300mg)



Yeh bhi ek combination medicine hai jo abdominal cramps(aithan) aur pet ke dard ko thik karta hai.
Isme two combination medicine hai- Camylofin aur Paracetamol.
Camylofin ek anti-cholinergic hai jo ki stomach aur gut(Intestine) ke muscles ko relax karta hai, Yeh muscle ke contractions(Spasm) ko rokta hai jis wajah se yeh Pet me Cramps(Aithan) aur dard ko kam karta hai
Paracetamol ek Anti-pyretic(Fever Reducer) aur analgesic(Pain reducer) hai.

7) Meftal Spas tabs:
  (Dicyclomine 10mg + Mefenamic Acid 250mg)



Is medicine ko basically period related abdominal pain ke kiye use kiya jata hai aur generally bhi pet dard me use kiya jata hai.
Isme two combination medicine hai- Dicyclomine aur Mefenamic Acid.

Dicyclomine ek anti-cholinergic hai jo ki stomach aur gut(Intestine) ke muscles ko relax karta hai, Yeh muscle ke contractions(Spasm) ko rokta hai jis wajah se yeh Pet me Cramps(Aithan), Dard, Bloating aur Discomfort ko thik karta hai.
Mefenamic Acid ek Non-steroidal Anti-inflamatory Drug( NSAID) hai jo ki abdominal pain aur swelling ko kam karta hai.


 
Toh yaha tak humne samjh liya pet ka dard(Stomach/Abdominal Pain) kya hota hai, iinks kaarano ko samjha aur kuch best medicines ke baare me jaan liya jo Pet ke dard se hame araam dilate hai.

Keep reading my articles, and share with your freinds and loves ones. And Recommend this post with every contacts in your phone.
Till then, Be Healthy Be informed.
Thank You!













Comments

Popular posts from this blog

Oral Rehydration Salt( ORS ) Liquid ke fayde(benefits) jaane. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!      Aaj hum jaanenge Oral Rehydration Salt( ORS ) Solution/Liquid kya hota hai aur Jaanenge inke kya kya faide hote hai, Isko ghar me kaise bana sakte hai aur end me dekhenge kuch Popular ORS brands ko. Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic. Oral Rehydration Salt(ORS) Solution kya hota hai? Hamare body me kisi wajah se paani ki kami hone par hum ORS solution lete hai, paani ke kami hone ke karan hamare shareer me Electrolytes ka balance bigad jata hai. Electrolytes, body me minerals jaise(Sodium, Potassium, Chloride, Bi-Carbinate, Magnesium Chloride Etc) ka Solution hota hai.Body me electrolytes ke balance bigad ne se hamare body me Dehydration(Paani aur minerals) ki kami ho jati hai. Toh isi ko maintain rakhne ke liye hume ORS ka Solution diya jata hai.       ORS hume Diarrhea(Dast) aur Vomitting(Ulti) hone par lena bahut helpful hota hai. ORS Solution ko hum ghar me bhi bana sakte hai patient ki condition ke according(Ni...

Pet ke Keede(Stomach/Intestinal Worm) se hai pareshan? Jaaniye iske kaaran aur Ilaj bade hi asaan Bhasha me.

Hello Everyone!      Aaj hum Jaanenge Hamare Pet me ya Aant(intestine) me keede kaise hojate hai aur samjhenge inse bacha kaise jaye aur end me jaanenge In keedo ka Ilaj kaise kiya jaye. Toh chaliye bina waqt gawaye shuru karte hai hamara aaj ka topic. Pet me keeda(Stomach Worm)hona kya hota hai?  Insani shareer me stomach ya intestine me keede ek type ka Parasite(parjeevi) hote hai. Yeh insano ke intestine me rehte hai waha ke ingredients ko khaate hai aur intestine ke layers se Khoon chuste hai. Yeh intestine ke parasites intestine(Aanto) se nutrition lete hai. Yeh keede intestine me zinda toh rehte hai par reproduction nahi kar paate. Zaruri nahi hai ke jinke bhi pet me keede ho unhe iske symptoms dikhe hi, toh kuch ko symptoms dikhte hai jaise Thook bahut ana, Latrine ke raaste me Itching hona, pet me dard hona, pet bhaari lagna, gas banna ya Sharir ka ghatna etc. Toh jinke pet me bhi keede hongi unhe ilaj ki zarurat hai jinhe zyda tar medicines ke zariye thik ki...

Bhook nahi lag rahi hai? Khaane ka man nhi hota hai? Jaaniye behtareen upay (Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!   Aaj hum jaanenge Bhook nahi lagne(Loss of Appetite) ke kaaran, Iske symptoms kya kya hote hai, Aur iske ilaj me diye jaane wali best medication combination ke baare me. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte h..   Bhook nahi lagna kya hai? What is Loss of Appetite? Jab hume khaane peene ki ichchha kam hone lagti hai toh is condition ko bhook nahi lagna kehte hai. Iska matlab yeh hai ke aapko jitna bhook pehle lagta tha, ab utna bhook nahi lagta. Khaana khaane ke baat se hi aapka jee machlaane lagta hai aur lagta hai ki khaane ke baad ulti aajayegi. Is condition me achanak apka body weight kam hone lagta hai. Lambe samay se bhook na lagne ki condition ko medical term me Anorexia bolte hai. Bhook na lagne ke Psychological karan bhi ho sakte hai jaise chinta, stress, depression, tanao etc. Bhook nahi lagne ke Symptoms kya kya hote hai?  - Khaane ka taste ko napasand batana.  - Khaane ka smell aate hi khaane ko door kardena.  - Woh khaana bhi pasan...