Hello Everyone!
yah ek anti-emetic medicine hai jo ki Nausea aur vomiting ke treatment aur prevention ks liye use me liya jata hai.
yeh bhi Vomiting ke prevention aur treatment ke liye helpful hai.
Aaj hum jaanenge Ulti(Vomiting) Kya hai, ulti hone ke kaarano ko samjhenge aur end me dekhenge Ulti Rokne ke kuchh best mediccations ke baare me.
Toh bina der kiye chaliye shuru karte hai aaj ke topic ko.
Ulti(Vomiting) hona kya hota hai?
Ulti(Vomiting) kisi bhi age ke group ke insan ko ho sakta hai. Ulti hone ke kayi wajah(reason) hi sakte hai jaise, Indgestion ke karan, Ulta-seedha khaana khaane ke karan, Women me Pregnancy ke karan ulti ho sakta hai, Kayi logo ko Car/Bus/Train ya kisi gaadi me safar karne se ulti hota hai etc.
Hamare Body ke structure ke according shaarir me jab unimportant matter Jama ho jata hai toh hamara pet use nikal deta hai.
Isi tarah hamare sharir ke andar toxins ko forcibly bahar nikalne ke physiological Process ko ulti hona kehte hai.
Ulti(Vomiting) ke kuchh Kaarano ko jaante hai
- Body me kuch genral virus ya kuch aur infections ke karan, Isse pet me Aithan ho sakta hai jis karan ulti ho sakti hai.
- Norovirus aur Rotavirus se faile infection ke karan, H.Pylori grouo ke virus ke failne ke karan bhi ulti ho sakti hai.
- Bukhar aur Thand lagne se bhi ulti ho sakta hai.
- Food Posioning ke karan bhi serious vomiting ho sakta hai.
- Alcohol, Smoking aur Non-Steroidal Anti-knflamatory Drug(NSAID) jaise Ibuprofen, Aceclofenac, Diclofenac jaise dawai se pet me jalan ho sakti hai jiske karan ulti ho sakti hai.
- Gastro-enteritis ya Stomach Flu ke karan bhi ulti ho sakt hai.
- Pet me Ulcer ke karan.
- Neurological Problems ke karan.
- Sir dard ke karan bhi ulti hoskta hai.
- Kaan(Ear) ke andar hone wali problems ke karan jaise, Motion Sickness, Chakkar(Vertigo), Meniere's Disease ke karan bhi ulti ho sakta hai.
- Dimag pe padne wale pressure jaise kisi chot ke karan. Isse bhi ulti ho sakta hai.
- Kuchh Hanikar Uttejnaye(Noxious Stimulus) ki smell ya kisi tarah ka awaz, jinke hamara brain parabhav hota hai isse bhi ulti ho sakta hai.
- Temperature related bimari jaise Thakan ke karan body ka temperature badhna, Zyda tez dhoop ya garmi ke karan temperature badhne se bhi ulti ho sakta hai.
- Gaadi(Car/Bus ya Train) me safar ke waqt Motion sickness hojati hai jis wajah se ulti hosakta hai.
- Kisi tarah ki smell jaise Aharbatti ya Itar jaise smell kisi kisi ko suit nahi karta hai jisse unhe ulti ho jati hai.
- Pregnancy me badlao ke karan bhi ulti ho sakti hai.
#Humne yaha tak jana ulti ke kuchh karano ko in bataye reasons ke alave bhi kuchh reasons ho sakte hai jinse hume ulti ho sakti hai.
#Chaliye ab jaante hai Kuchh best Medicines ke baare jo adhiktar Ulti(Vomiting) ko rokne ke liye istemal me laya jata hai.
Ulti(Vomiting) ko rokne ke liye kuch best medicines-
1)Ondem 4mg tabs:
(Ondansetron 4mg)
Ise khaane se pehle aur khaane ke baad nhi liya ja sakta hai depending on patients condition.
2) Ondem Md 4 tabs:
(Ondansetron 4mg)
Yeh bhi ek Anti-emetic medicine hai same ondem 4 tablet ki tarah jo ki nasea-vomiting ke treatment aur prevention ke liye liya jata hai.
Yeh tablet Mouth Dispersible(MD) form me hota hai, Ise direct nikalne ke bajaye ise apne tongue me rakhle ya kuch ghul kar pet chala jayga
3)Vomikind MD 4 tabs:
(Ondansetron 4mg)
Yeh bhi anti-emetic nausea aur vomiting ke treatment aur prevention ke liye liya jata hai.
Yeh Mouth Dispersible(MD) form me hai.
4) Emeset 4 tabs:
(Ondansetron 4mg)
5)Avomine tabs:
(Promethazine 25mg)
Yeh ek anti allergic medicine hai jo allergic conditions jaise runny nose and eyes, Itching, Skin rashes ke liye use me laya jata hai.
Yeh brain ke aur hisso me bhi kaam karta hai jo ki Nausea/Vomiting ke liye responsibe hote hai.
Yeh ek Sedative nature ka hai, isko lene ka baad hame thoda drowsiness lag sakta hai, toh ise khaane ke baad Gaadi(Car/Bike ya bus) na chalaye.
Toh humne yaha tak samjh liya Ulti hone ke kayi kaarano ko aur dekha kuch behtareen Medicines ko jo ki ulti ko rokne ke liye kaargar mana jata hai.
Read it, Learn it and share with others also.
Till then, Be healthy Be informed..
Thank You!
Note- koi bhi dawai lene se pehle ek bar apne doctor ya area ke kisi pharmacist se zarur consult kare.
Self Medication is harmful ✖
Comments
Post a Comment