Hello Everyone!
Aaj hum yaha jaanenge Prega News(Pregnancy Test Kit) ko istemal kaise karte hai aur isse jude saari zaruri baaton ko.
Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic.
Prega News kya hai?
Prega News ek home pregnancy test kit hai jo hume batata hai koi mahila(Female) pregnant hai ya nahi ek simple se test se jise hum ghar me hi kar sakte hai khud se.
Yeh Kit hume easily kisi bhi medical store se without prescription(Over The Counter) mil jata hai.
Yeh Mankind Pharma Ltd ke dwara banai jaati hai.
Yeh test kit Sera-reagent ko use karta hai joki mahila(woman) ke urine me HCG(Human Chorionic Gonadotropin) hormone ko detect karta hai, Jo batata hai ke mahila(woman) pregnant hai ya nahi.
Yah test bas ek Qualitative test hai, matlab yeh sirf HCG hormone ke presence ko check karta hai aur batata hai result Positive hai ya Negative.
Yeh Test 100% confirmatory nahi hai, 100% confirmation ke liye Laboratory test zarur karwaye.
Zydatar time yeh kit Accurate(99% correct) result deta hai jo hamesha Morning ka first urine se test karne ki salah di jaati hai. Wajah yeh hai ki Morning me HCG hormone ka Concentration high hota hai isliye result zyda accurate ke chances hote hai.
Prega News ko istemal kaise karte hai?
Yeh kit hame asaani se kisi bhi medical store se bina doctor ke prescription ke mil jaati hai.
Toh sabse pehle yeh kit kharidkar le aye.
- Morning ka pehla urine(peshab) ko ek saaf container me rakhle.
- Prega News ke rapper se kit ko bahar nikaliye aur ek satah par rakh lijiye.
-Ab prega news ke sath ek chhota sa dropper hota hai, us dropper se thoda sa urine(peshab) ka sample utha le.
- Aur urine sample ka 3drop(3 boond) sample well(Chhota round shape ka area hoga) me daal de.
- 5minute ruke accurate result ke liye.
Kaise samjhe Result ko? (Interpretation)
Positive hai - agar 2 Pink band(2 Pink line) show karta hai test kit me.
Negative hai - agar 1pink band(1pink line) show karta hai test kit me.
Invalid(Kuch nahi hai) - agar ek line dark hai aur dusra line light hai, Iska matlab urine me enough amount of HCG hormone nahi hai result ko analyse karne ke liye, toh next day fir se doosra test kariye.
Extra Tips-
- yeh test kit postive result tabhi dega jab aap ise intercourse ke 2 hafte ke aas paas istemal karte hai. Bahut jaldi test karlene se negative result de sakta hai.
- hamesha 2 test kare agar ek me aapko negative result mila hai toh aap dusra test, first test ke 3-4 din baad kar sakte hai verify ke liye.
Yeh 'C' aur 'T' kya hota hai prega news me?
Sabhi prega news kit me 2 lines hoti 'C' aur 'T'
C ko control line bolte hai jo batata hai testing process thik se kaam karrha hai.
T ko bolte hai Test line, Yeh line tab show karne lagta hai jab result Postive ho.
Agar aap pregnant ho toh yeh Dono line show karegi.
Toh yaha tak humne samajh liya Prega News Test kit ke baare me bilkul asaani se.
Share kariye yeh valuable information aone freimds and family members ke sath tAki woh bhi iska laabh utha sake.
Thank You!✌
Comments
Post a Comment