Skip to main content

Jaaniye SINAREST tablet ke baare me

Hello Everyone! 
     Toh aaj hum jaanenge Sinarest tablet ke baare me puri jaankari ke,  Sinarest tablet kya hai, Iska istemal kya hai, iska dose, Aur iske Side Effects ko samjhenge bilkul Asaan bhasha me.
  Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka gyaan.

Sinarest New tablet kya hai?

Sinarest ek combination medicine hai jo ki Common Cold(Sardi/zukham) ke symptoms(Lakshan) ko thik karne ke liye istemal kiya jata hai.

Yeh tablet Runny Nose(Naak Behna), Sore Throat(Gale me Kharash), HeadAche(Sir Dard), Muscle Pain(Shareer me dard) aur Fever(Bukhar) se araam dilane me helpful hai.

Yeh medicine Centaur Pharmaceuticals Pvt Ltd ke dwara banai jaati hai.

On Date - 3, July, 2022
  [Price(MRP) - 91.8 Rs]

COMPOSITION:-

Yeh tablet Three Medicine ka combination hai- Paracetamol, Phenylephrine aur Chlorpheniramine.

Paracetamol ek Anti-Pyretic(Bukhar Kam karne wala) aur Analgesic( Dard kam karne wala) ek Medicine hai.

Phenylephrine ek Nasal Decongestant hai jo ki jo ki hamare naak me chhote blood vessels ko narrow karke hume Congestion aur Stuffy Nose se rahat deta hai.

Chloroheniramine ek Anti-allergic hai jo ki allergy symptoms jaise Runny Nose(Naak Behna), Watery Eyes(Aankh behna), Itching(Khujlahat), Redness(Laalipan), Sneezing(Chheek) se rahat deta hai.
Yeh teeno sath me milkar ek overall Common Cold(Sardi/Zukham) ke symptoms ko effectively thik karte hai.

Dosage:-

Kisi bhi dawai ka dose patient ki Age(Umar), Weight(Wazan) aur Condition pe Depend jarta hai.
Toh hamesha kisi bhi dawai ko lene se pehle apne Doctor ya ek Chemist/pharmacist se zarur consult kare.

Common Side Effects:-

Nausea
Vomitting 
Allergic Reaction
Sleepiness
Headache.

Extra Tips:-

- Is tablet ko khaane se thoda Sleepiness jaisa lag sakta hai.Toh is tablet ko lene ke baad turant Drive na kare.

- Is tablet me mile jo teen Compositions hai(Paracetamol, Phenylephrine, Chlorpheniramine) agar in teeno me se kisi bhi medicine apko react karta hai toh pehle doctor se zarur consult kare.

- Alcohol(Sharaab) ke sath isko lena safe nahi mana gaya hai.

- Pregnancy ya breastfeeding ke waqt bhi ek bar apne Doctor se zarur consult kare isko lene se pehle.

Toh Yaha tak humne jaan liya SINAREST tablet ke baare me bilkul Asaan bhasha me.

Isi tarah aage bhi Roz me istemal kiye jaane wali Medicines ke baare jaanne ke liye Mujhe follow karle.
Aur share kariye yeh valuable information aur recommend kariye yeh blog apne freinds aur family ke sath taki woh bhi iska benefit le sake.
Thank You!

Comments

Popular posts from this blog

Oral Rehydration Salt( ORS ) Liquid ke fayde(benefits) jaane. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!      Aaj hum jaanenge Oral Rehydration Salt( ORS ) Solution/Liquid kya hota hai aur Jaanenge inke kya kya faide hote hai, Isko ghar me kaise bana sakte hai aur end me dekhenge kuch Popular ORS brands ko. Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic. Oral Rehydration Salt(ORS) Solution kya hota hai? Hamare body me kisi wajah se paani ki kami hone par hum ORS solution lete hai, paani ke kami hone ke karan hamare shareer me Electrolytes ka balance bigad jata hai. Electrolytes, body me minerals jaise(Sodium, Potassium, Chloride, Bi-Carbinate, Magnesium Chloride Etc) ka Solution hota hai.Body me electrolytes ke balance bigad ne se hamare body me Dehydration(Paani aur minerals) ki kami ho jati hai. Toh isi ko maintain rakhne ke liye hume ORS ka Solution diya jata hai.       ORS hume Diarrhea(Dast) aur Vomitting(Ulti) hone par lena bahut helpful hota hai. ORS Solution ko hum ghar me bhi bana sakte hai patient ki condition ke according(Ni...

Pet ke Keede(Stomach/Intestinal Worm) se hai pareshan? Jaaniye iske kaaran aur Ilaj bade hi asaan Bhasha me.

Hello Everyone!      Aaj hum Jaanenge Hamare Pet me ya Aant(intestine) me keede kaise hojate hai aur samjhenge inse bacha kaise jaye aur end me jaanenge In keedo ka Ilaj kaise kiya jaye. Toh chaliye bina waqt gawaye shuru karte hai hamara aaj ka topic. Pet me keeda(Stomach Worm)hona kya hota hai?  Insani shareer me stomach ya intestine me keede ek type ka Parasite(parjeevi) hote hai. Yeh insano ke intestine me rehte hai waha ke ingredients ko khaate hai aur intestine ke layers se Khoon chuste hai. Yeh intestine ke parasites intestine(Aanto) se nutrition lete hai. Yeh keede intestine me zinda toh rehte hai par reproduction nahi kar paate. Zaruri nahi hai ke jinke bhi pet me keede ho unhe iske symptoms dikhe hi, toh kuch ko symptoms dikhte hai jaise Thook bahut ana, Latrine ke raaste me Itching hona, pet me dard hona, pet bhaari lagna, gas banna ya Sharir ka ghatna etc. Toh jinke pet me bhi keede hongi unhe ilaj ki zarurat hai jinhe zyda tar medicines ke zariye thik ki...

Bhook nahi lag rahi hai? Khaane ka man nhi hota hai? Jaaniye behtareen upay (Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!   Aaj hum jaanenge Bhook nahi lagne(Loss of Appetite) ke kaaran, Iske symptoms kya kya hote hai, Aur iske ilaj me diye jaane wali best medication combination ke baare me. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte h..   Bhook nahi lagna kya hai? What is Loss of Appetite? Jab hume khaane peene ki ichchha kam hone lagti hai toh is condition ko bhook nahi lagna kehte hai. Iska matlab yeh hai ke aapko jitna bhook pehle lagta tha, ab utna bhook nahi lagta. Khaana khaane ke baat se hi aapka jee machlaane lagta hai aur lagta hai ki khaane ke baad ulti aajayegi. Is condition me achanak apka body weight kam hone lagta hai. Lambe samay se bhook na lagne ki condition ko medical term me Anorexia bolte hai. Bhook na lagne ke Psychological karan bhi ho sakte hai jaise chinta, stress, depression, tanao etc. Bhook nahi lagne ke Symptoms kya kya hote hai?  - Khaane ka taste ko napasand batana.  - Khaane ka smell aate hi khaane ko door kardena.  - Woh khaana bhi pasan...