Skip to main content

Posts

Showing posts from 2022

Jaaniye Prega News(Pregnancy Testing Kit) ko kaise Istemal karte hai.

Hello Everyone!      Aaj hum yaha jaanenge Prega News(Pregnancy Test Kit) ko istemal kaise karte hai aur isse jude saari zaruri baaton ko. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic. Prega News kya hai? Prega News ek home pregnancy test kit hai jo hume batata hai koi mahila(Female) pregnant hai ya nahi ek simple se test se jise hum ghar me hi kar sakte hai khud se. Yeh Kit hume easily kisi bhi medical store se without prescription(Over The Counter) mil jata hai.         Yeh Mankind Pharma Ltd ke dwara banai jaati hai.         Yeh test kit Sera-reagent ko use karta hai joki  mahila(woman) ke urine me HCG(Human Chorionic Gonadotropin) hormone ko detect karta hai, Jo batata hai ke mahila(woman) pregnant hai ya nahi.          Yah test bas ek Qualitative test hai, matlab yeh sirf HCG hormone ke presence ko check karta hai aur batata hai result Positive hai ya Negative. ...

Jaaniye Saridon tablet ke baare me

Hello Everyone!    Aaj hum yaha jaanenge Saridon tablet ke baare me, Iska istemal(Uses) ko samjhenge, Iske Dosage ko dekhenge, Aur end me iske Side Effects ko bhi dekhenge. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic. Saridon tablet kya hai? Saridon tablets specially Headaches(Sir dard) ko thik karne ke liye istemal kiya jata hai. Yeh tablet Different types ke Headache(Sir dard) jaise Pure Sir me dard hona, Sir ke Side me dard hona ya Sir ke peeche dard hona, in dardo se araam dilata hai. Saridon tablets,  Bayer Pharmaceuticals Pvt Ltd Company ke dwara banai jaati hai. Composition:- Is tablet me Three Combination Medicine hai- Paracetamol 250mg [Analgesic(Pain reliever) aur Antipyretic(Fever Reducer)] Propyphenazone 150mg  [Analgesic(Pain reliever) aur Antipyretic(Fever Reducer)] Caffiene (anhudrous)  Extra Tips:- Paracetamol ko lagbhag 30-45 minutes lagta hai work karne me.Yeh body ka temperature ko kam karta hai jis wajah...

Jaaniye SINAREST tablet ke baare me

Hello Everyone!       Toh aaj hum jaanenge Sinarest tablet ke baare me puri jaankari ke,  Sinarest tablet kya hai, Iska istemal kya hai, iska dose, Aur iske Side Effects ko samjhenge bilkul Asaan bhasha me.   Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka gyaan. Sinarest New tablet kya hai? Sinarest ek combination medicine hai jo ki Common Cold(Sardi/zukham) ke symptoms(Lakshan) ko thik karne ke liye istemal kiya jata hai. Yeh tablet Runny Nose(Naak Behna), Sore Throat(Gale me Kharash), HeadAche(Sir Dard), Muscle Pain(Shareer me dard) aur Fever(Bukhar) se araam dilane me helpful hai. Yeh medicine Centaur Pharmaceuticals Pvt Ltd ke dwara banai jaati hai. On Date - 3, July, 2022   [Price(MRP) - 91.8 Rs] COMPOSITION:- Yeh tablet Three Medicine ka combination hai- Paracetamol, Phenylephrine aur Chlorpheniramine. Paracetamol ek Anti-Pyretic(Bukhar Kam karne wala) aur Analgesic( Dard kam karne wala) ek Medicine hai. Phenylephrine ek Nasal D...

Jaaniye Kabziyat(Constipation) ke Kaaran aur Ilaj. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!    Aaj hum yaha jaanenge Kabz(Constipation) kya hota hai, Iske hone ke kaaran ko samjhenge, Aur End me iske treatment aur Kuch best Medicines ke baare me jaanenge jo Kabz(Constipation) ko thik karne me istemal kiya jata hai. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka Topic- Kabz(Constipation) kya hota hai? Kabz ek general problem hai. Generally, Hafte me teen se kam agar Potty(Latrine) hote hai toh use Kabz yani Constipation kaha gaya hai.            Kabz me hum thik se stool ko pass nahi kar paarhe hote hai ya Hamare Large Intestine(Badi Aant) me Stool(mal) ikattha hojata hai aur hard ho jata hai. Jisko pass karne me hume bahut taklif hoti hai.            Generally, hamare pet me khaane se paani ka absorption zyda hone lagta hai tab hume Kabz(Constipation) hota hai. Kabz kuchh dawaiyo se bhi ho sakta hai, Lifestyle me Physical Exercise na karna aur Umar ke badhne ke karan bhi kabz ho sakti hai....

MEDERMA, SKINLITE, SKINSHINE, NO-SCARS, MEDISALIC, ELOSONE-HT CREAM etc ke baare me complete details.

Hello Eveyone!     Toh aaj hum yaha jaanenge MEDERMA, SKINLITE, SKINSHINE, MEDISELIC, ELOSONE-HT etc Creams ke baare me.Yeh Creams kya hai, Inke Uses kya hai, Inke Fayde(Benefits)ke Hai aur Nuksan(Loss) Kya hai. Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic. MEDERMA, SKINSHINE, SKINLITE, NO-SCARS, MEDISELIC, ELOSONE-HT etc Creams kya hai? Yeh Saari Creams Melasma ko thik karne ke liye istemal kiya jata hai. Melasma ek aisi condition hai jisme chehre par bhoore Dhabbe( Brown Spots) banne lagte hai, khaas Naak(Nose), Gaal(Chick), Thuddi(Chin) aur Jabde ke paas. Yeh Brown Spot(Bhoore Dhabbe) Gardan(neck), Kandhe(Shoulder) aur Haath tak jaa sakte hai.            MEDERMA, SKINSHINE, SKINLITE , NO-SCARS, MEDISELIC, ELOSONE-HT etc Creams me teen Common type ke Molecules hai(Hydroquinone, Tretinoine aur Mometasone) jo ki skin ke dhabbo ko kam karne ke liye istemal kiya jata hai.            Hamare Shareer me Melanocy...

Jaaniye EVION 400(Vitamin-E) Capsules ke baare me. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!       Aaj yaha hum jaanenge Evion 400 Capsules jisme Vitamin-E( Tocopheryl Acetate) as a main ingredient hota hai, Jaanenge Evion 400 capsule kya hai, Iske fayde kya kya hai, aur end me jaanenge iska Istemal kaise karte hai. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic. [ Note- Kisi bhi Medicine ko lene se pehle apne Doctor ya ek Chemist se zarur consult kare. ] Evion 400 capsule kya hai? Evion 400 capsules,  Vitamin-E supplement hai jisme Tocopheryl Acetate ek main ingredient mila hai. Vitamin-E ek Fat-Soluble Vitamin hai aur ek powerful Anti-oxidant hai jo ki hamare overall Muscle Skin aur hair ke liye bahut beneficial hota hai. Anti-Oxidants hamare body me cells ko kharab hone se bachata hai. Yeh anti-oxidants hamare shareer me Free-Radicals(ek type ka single cell tissue hoti hai jo hamare body me bahut tezi se pair banati hai jiske karan other active cells ko nuksan pahucha deti hai) toh yeh anti-oxidants in free-radicals ko...

Oral Rehydration Salt( ORS ) Liquid ke fayde(benefits) jaane. (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!      Aaj hum jaanenge Oral Rehydration Salt( ORS ) Solution/Liquid kya hota hai aur Jaanenge inke kya kya faide hote hai, Isko ghar me kaise bana sakte hai aur end me dekhenge kuch Popular ORS brands ko. Toh bina deri kiye chaliye Shuru karte hai aaj ka topic. Oral Rehydration Salt(ORS) Solution kya hota hai? Hamare body me kisi wajah se paani ki kami hone par hum ORS solution lete hai, paani ke kami hone ke karan hamare shareer me Electrolytes ka balance bigad jata hai. Electrolytes, body me minerals jaise(Sodium, Potassium, Chloride, Bi-Carbinate, Magnesium Chloride Etc) ka Solution hota hai.Body me electrolytes ke balance bigad ne se hamare body me Dehydration(Paani aur minerals) ki kami ho jati hai. Toh isi ko maintain rakhne ke liye hume ORS ka Solution diya jata hai.       ORS hume Diarrhea(Dast) aur Vomitting(Ulti) hone par lena bahut helpful hota hai. ORS Solution ko hum ghar me bhi bana sakte hai patient ki condition ke according(Ni...

Sardi-Zukham(Common Cold) se hai pareshan? Jaaniye iske kaaran aur Ilaj (Bilkul Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!     Aaj hum jaanenge Sardi ya Zukham ke baare me.Samjhenge iske hone ke kaarano ko aur End me jaanenge kuch behtareen Medications ke baare jo ki Sardi-Zukham aur isse related symptoms ko thik karne ke liye istemal me laya jata hai. Toh Bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic. Sardi-zukham(Common Cold)  kya hota hai samjhe? Sardi-zukham ek Virus ke karan hota hai. Hume Sardi hone par, Naak ka behna, Bar bar Chhik aana, Naak ka band hojana, aur sath hi me Fever aana, Saans lene me taklif boht saari problems shamil hoti hai. Mana jaata hai 200 se bhi zyda Virus hoti hai jo Sardi-Zukham ke liye responsible hoti hai. Jisme sabse zyda Rhino-Virus ko 50% sardi hone ka kaaran mana gaya hai. RhinoVirus ke alava CoronaVirus, Respiratory Syncytial Virus, Influenza, Para-influenza kuch aise Virus hai jinse bhi Sardi-Zukham hone ki zyda chances hote hai. Sardi-Zukham ke kuch Symptoms ko dekhte hai Sardi ya zukham ke symptoms turant nahi dikhte, Ise dik...

Gas ki problem se paaye raahat. Jaaniye best medications (Asaan bhasha me)

Hello Everyone!    Toh aaj hum jaanenge ki Gas ki problem kya hoti hai, iske kaaran kya hote hai aur end me jaanenge Gas se chhutkara paane ke liye kuch behtareen medicines ke baare. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai hamara aaj ka topic. Pet me Gas banna kya hota hai? Pet me gas banne par pet ka fulna(flatulence) aur pet tight lagna ya pet ka bhaari lagna aise kuchh symptoms rehte hai. Hum jab khaana khaate hai toh hamare pet me, Hydrogen,  Carbon-dioxide aur Methane Gas nikalta hai jis wajah se Hume Gas/Acidity ki problem ho jaati hai. Ise pet ka Gas ya intestinal Gas se bhi hum define kar sakte hai. Yah Gas generally, Anus ke zariye, badbu(Bad smell) aur Awaaz ke sath bahar nikalti hai. Pet me Gas ke kuch lakshan(Symptoms)  - Bar-bar Gas ka nikalna.  - Bar-bar Dakaar aana.  - Pet ful jana.  - Pet me dard aur bechaini hona. - pet me aaithan. Pet me Gas banne ke kuchh Kaaran(Causes)  - Zyda khaana khaane se.   - Smoking Karne se. - C...

Pet ke Dard(Abdominal/Stomach Pain) se hai pareshan? Jaaniye iska Ilaj(Asaan Bhasha me)

Hello Everyone!   Aaj hum jaanenge Pet Dard(Stomach Pain) ke baare me. Samjhenge pet ke dard ke kaarano ko, aur Jaanenge kuch best medicines ke baare me jo Pet me Dard se rahat ke liye helpful hota hai. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka topic. Pet ka dard(Stomach Pain) Kya hota hai?  Pet me dard bahut hi aam ho gaya hai kyuki hamari lifestyle bahut hi unorganised ho chuki hai. Jaise Der tak baithe baithe kaam karna, Samay ke kami ke karan Junk Foods zyda khaana, Tail-masale wale khaana zyda khaana, ya time se khaana na khaana, Thik se nind nahi lena etc. Pet ka dard mild se lekar severe tak ho sakta hai. Pet ke Dard ke Kaaran(Causes) ko jaante hai  - Indigestion(Apach) ke karan.  - Kabziyat ke karan pet me dard ho sakta hai.  - Stomach Flu ke karan.  - Menstrual Period(Maasik dharm) ke dauran Aaithan(Cramps).  - Food Poisioning ke karan.  - Lactulose Intolerence( Doodh aur Dairy products pe paye jaane wali natural sugar ko digest n...

Ulti(Vomiting) Rokne ke best medication ke baare jaane(Asaan Bhaasha me)

Hello Everyone!    Aaj hum jaanenge Ulti(Vomiting) Kya hai, ulti hone ke kaarano ko samjhenge aur end me dekhenge Ulti Rokne ke kuchh best mediccations ke baare me. Toh bina der kiye chaliye shuru karte hai aaj ke topic ko. Ulti(Vomiting) hona kya hota hai? Ulti(Vomiting) kisi bhi age ke group ke insan ko ho sakta hai. Ulti hone ke kayi wajah(reason) hi sakte hai jaise, Indgestion ke karan, Ulta-seedha khaana khaane ke karan, Women me Pregnancy ke karan ulti ho sakta hai, Kayi logo ko Car/Bus/Train ya kisi gaadi me safar karne se ulti hota hai etc. Hamare Body ke structure ke according shaarir me jab unimportant matter Jama ho jata hai toh hamara pet use nikal deta hai. Isi tarah hamare sharir ke andar toxins ko forcibly bahar nikalne ke physiological Process ko ulti hona kehte hai. Ulti(Vomiting) ke kuchh Kaarano ko jaante hai  - Body me kuch genral virus ya kuch aur infections ke karan,  Isse pet me Aithan ho sakta hai jis karan ulti ho sakti hai. - Norovirus aur R...