Hello Everyone! Aaj hum yaha jaanenge Kabz(Constipation) kya hota hai, Iske hone ke kaaran ko samjhenge, Aur End me iske treatment aur Kuch best Medicines ke baare me jaanenge jo Kabz(Constipation) ko thik karne me istemal kiya jata hai. Toh bina deri kiye chaliye shuru karte hai aaj ka Topic- Kabz(Constipation) kya hota hai? Kabz ek general problem hai. Generally, Hafte me teen se kam agar Potty(Latrine) hote hai toh use Kabz yani Constipation kaha gaya hai. Kabz me hum thik se stool ko pass nahi kar paarhe hote hai ya Hamare Large Intestine(Badi Aant) me Stool(mal) ikattha hojata hai aur hard ho jata hai. Jisko pass karne me hume bahut taklif hoti hai. Generally, hamare pet me khaane se paani ka absorption zyda hone lagta hai tab hume Kabz(Constipation) hota hai. Kabz kuchh dawaiyo se bhi ho sakta hai, Lifestyle me Physical Exercise na karna aur Umar ke badhne ke karan bhi kabz ho sakti hai....
All the information which provided here are for knowledge purpose only, Before taking any medication, first consult with your doctor or any pharmacist of your local area.